Thursday, 15 September 2011

Kya Pakistan Ko Tora Ja Sukta Hay?



Altaf Hussain Nay kuha hay k Pakistan ko tornay k nuqshay bunnay hoay hain aur tiaari mukammal hay laykun M.Q.M aur Karachi es mansoobay mein rakawut hay.

Ab koe Altaf Hussain say pochay k Pakistan ki original aur actual entities Baloch, Sindhi, Pathan aur Punjabi tu aisa hergiz nahein honay dain gay.

Tu phir original aur actual entities Baloch, Sindhi, Pathan aur Punjabi ki razamundi k baghair Pakistan kon tor sukta hay aur kysay tor sukta hay?

Altaf Hussain ki peshkush hay k Foj, ISI aur M.Q.M mil gaen tu Pakistan ko totnay say buchaya ja sukta hay.

Ab koe Altaf Hussain say pochay k Foj aur ISI k liay Pakistan ki original aur actual entities Baloch, Sindhi, Pathan aur Punjabi ki support ziaada zarori hay ya M.Q.M ki?

Jub k Dr. Zulfiqar Mirza k Ilzam ka M.Q.M ab bhe jawab nahein day pa rahi k Altaf Hussain nay Dr. Zulfiqar Mirza ko Sindh k Senior Minister Pir Mazhar-ul-Haque ki mojodgi mein kuha tha k Pakistan ko tornay mein M.Q.M sath day ge.

Ab sawal paida hota hay k Foj aur ISI ko Pakistan ki original aur actual entities Baloch, Sindhi, Pathan aur Punjabi ki support k baad M.Q.M ki support ki zarorat kion zarori hay?

Kuhein M.Q.M ko Pakistan ki original aur actual entities Baloch, Sindhi, Pathan aur Punjabi k aapas mein burhtay hoay Taalukkat aur aik dosray per burhatay hoay Aitamad say tu parayshani nahein ho rahi?

Kahein Pakistan tornay ka shor mucha kur, durra kur aur dhumka kur General Aslam Baig aur General Musharraf k dour ki turha Foj aur ISI ka Taawan hasil kur k Pakistan ki original aur actual entities Baloch, Sindhi aur Pathan ko Foj aur ISI k hathon zaleel o khawar kurwa kur General Zia aur General Musharraf k Aamrana adwar ki turha aik baar phir Pakistan ki original aur actual entities Baloch, Sindhi, Pathan aur Punjabi per M.Q.M (U.P, C.P Gunga Jumna Mafia) ki Hukmarani Qaim kurnay k munsoobay per tu ammal nahein ho raha? (Note: Democratic k bajaay Dictatorial atmosphere U.P, C.P Gunga Jumna Mafia ko Pakistan ki original aur actual entities Baloch, Sindhi, Pathan aur Punjabi ko aapas mein lurwanay k liay ziada suit kurta hay).

Pakistan k wajod mein aanay say lay kur Pakistan k International aur National Policy Saz addaron mein Baloch, Sindhi aur Pathan ko tu shamal nahein kia jata. Sirf Pujabi aur Muhajir he International aur National Policy Saz addaron mein aksariat mein hotayhain.

Pakistan k wajod mein aanay say lay kur Punjabi nay hameeesha Pakistan ki original aur actual entities Baloch, Sindhi aur Pathan ko nazarandaz kiya aur Muhajiron ko ehmiyat di.

Jub k Policy Saz addaron mein shamil Muhajir ka Pakistan k wajod mein aanay say lay kur kirdar yeh raha k ous nay Pakistan ki original aur actual entities Baloch, Sindhi aur Pathan ko Mulk Dushman, Jahil, Kum Aqqal, Gunwar, Foj aur Punjab ka Dushman bunna kur pesh kia.

Jub k Muhajir Politician aur Journalist nay Pakistan ki original aur actual entities Baloch, Sindhi aur Pathan ko bawar kurwaya k Punjabi Samraaj Pakistan ki original aur actual entities Baloch, Sindhi aur Pathan k Political, Social, Economical aur Administrative haqooq ghazab kur raha hay.

Pakistan k wajod mein aanay say lay kur ab tuk Pakistan ki original aur actual entities Baloch, Sindhi, Pathan aur Punjabi k durmian aik khaleeg hail rahi hay.

Punjabi aksur wa beshtar Pakistan ki original aur actual entities Baloch, Sindhi aur Pathan ka mukabla kurnay k liay Muhajir ka muhtaj nazar aaya. Khas tor per Sindh per apna tasalat barkarar rukhnay k liay Punjab nay hameesha Sindhi k makably mein Muhajir ki support ki aur Muhajir say support lee.

Jub k Pakistan ki original aur actual entities Baloch, Sindhi aur Pathan ko Punjabi say apnay Political, Social, Economical aur Administrative haqooq hasil kurnay k laiay Muhajir ki Muhtaji kurni puri.

Kya Pakistan ki original aur actual entities Punjabi, Baloch, Sindhi aur Pathan ab bhi yeh khail Jari rukhna chahtay hain?

Kya Pakistan ki original aur actual entities Punjabi, Baloch, Sindhi aur Pathan ab bhi Muhajir Blackmailing ka shikar bunnay rehna chahtay hain?

Kya Pakistan ki original aur actual entities Punjabi, Baloch, Sindhi aur Pathan Mazi say subaq hasil nahein kurna chahtay?

Kya Pakistan ki original aur actual entities Punjabi, Baloch, Sindhi aur Pathan apnay Political, Social, Economical aur Administrative problems Muhajir ki muhtaji k baghair hul nahein kur suktay?

Kya dunya ki koe bhi takat jub Pakistan ki original aur actual entities Punjabi, Baloch, Sindhi aur Pathan aik sath rehna chahiti hon tu in ko alag alag kur sukti hay?


Kya dunya ki koe bhi takat jub Pakistan ki original aur actual entities Punjabi, Baloch, Sindhi aur Pathan bahim mutafiq aur muthaid hon tu in per humla ya qabza kur sukti hay?

No comments:

Post a Comment