Political
leaders apnay followers ko sirf politically represents he nahi kartay balkay
guide bhe kartay hain, rectify bhe kartay hain aur dosray political leaders k
followers k sath apnay followers ka interaction aur cooperation bhe karwatay
hain .
Karachi
mein rehnay waalay Punjabiyon, Pathano, Rajasthaniyon, Gujratiyon, Balochon, Sindhiyon
k na tu political issues ko importance di jaati hy aur na in ki political
leadership groom honay di jaati hy.
Karachi
mein rehnay waalay Punjabiyon, Pathano, Balochon, Sindhiyon ko Karachi mein
political representation na daynay ki wajaah say, Karachi mein Urdu Speaking
Hindustaniyon k sath Punjabiyon, Pathano, Balochon, Sindhiyon ka interaction
aur cooperation kon karwaata hy?
Political
mind persons nay politics tu karni he hoti hy laykun Karachi mein rehnay waalay
Punjabiyon, Pathano, Balochon, Sindhiyon ko Karachi mein political
representation na daynay ki wajaah say Punjabi, Punjab mein rehnay waalon k
sath, Sindhi, Rural Sind mein rehnay waalon k sath, Pathan, KPK mein rehnay
waalon k sath, Baloch, Baluchistan mein rehnay waalon k sath interaction aur cooperation
mein reh kar apni politics kartay hain aur apnay political problems share
kartay hain jis say Punjab, Rural Sind, KPK, Baluchistan mein Urdu Speaking
Hindustaniyon k liay Siyasi Na Pasandeedgi barh rahi hy.
Kya
Urdu Speaking Hindustani, Karachi mein Punjabiyon, Pathano, Balochon, Sindhiyon
say isolate honay k baad ab Punjab, Rural Sind, KPK, Baluchistan mein bhe Na
Pasand Deeda Afraad buntay ja rahay hain?
No comments:
Post a Comment