Karachi mein Urdu Speaking UP, CP, Bihari ki population 25%
hy .
Karachi mein Punjabi ki population 15 %, Pathan ki
population 15 %, Sindhi ki population 10 %, Baloch ki population 5%, Others 10%
hain .
Karachi mein Gujarati ki population 10 %, Rajasthani ki
population 10% hy .
Karachi mein Urdu Speaking UP, CP, Bihari ki 25%
population united aur politically active hy . Karachi ki 10% Gujarati population
aur 10% Rajasthani population ki political support Karachi ki 25% Urdu Speaking
UP, CP, Bihari population ko hasil honay ki wajaah say aur Karachi ki 15%
Punjabi population, 15%, Pathan population, 10%, Sindhi population, 5%, Baloch
population k united na honay balkay aapas ki confrontation aur politically mature
na honay ki wajaah say 25% Urdu Speaking UP, CP, Bihari population ki Karachi
par political domination hy .
Future mein Karachi ki 15% Punjabi population, 15%, Pathan
population, 10%, Sindhi population, 5%, Baloch population ko jo k Karachi ki
population ka 45% buntay hain, aapas ki confrontation khatam kar k Karachiet
Punjabi, Karachiet Pathan, Karachiet Sindhi, Karachiet Baloch ki base par aapas
mein political consensus develop kar k unite hona parna hy, warna, ous waqt tak
Karachi mein na Ammun hona hy aur na Amaan hona hy.
Karachi k 45% Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch k aapas mein
political consensus develop kar k unite honay ki sorat mein Karachi ki 10%
Gujarati population, 10% Rajasthani population aur 10% Other population nay
khud he 25% Urdu Speaking UP, CP, Bihari population ki support chor char kar 45%
Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch k alliance mein shamal ho jaana hy .
Karachi ki 45% Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch population
ka alliance bhe ous waqt he bun paana hy jub Karachi ki 15% Punjabi population
aur 10% Sindhi population aapas mein political consensus develop kar k unite
hona shoro karay.
Karachi ki 15% Punjabi aur 10% Sindhi population k aapas
mein political consensus develop kar k unite honay ki sorat mein Karachi ki 15%
Pathan population aur 5% Baloch population nay khud he 25% Punjabi aur Sindhi
population k alliance mein shamal ho jaana hy.
In short k Karachi mein politically dominant factors
25 % Urdu Speaking UP, CP, Bihari population aur 25% Punjabi, Sindhi population
hain . Jub k Karachi ki 10% Gujarati population, 10% Rajasthani population, 15% Pathan
population. 5% Baloch population aur 10% Other population additional aur
supporting political factor hain .
No comments:
Post a Comment