MQM jub
bhe Pakistan ki federal aur Sindh ki
provincial government mein shaamal ki gaee ous waqt Chief of Army Staff Muhajir
he hota tha. Balkay, MQM k qiyaam say laykar jub jub Muhajir Chief of Army
Staff raha tu MQM bhe Pakistan ki federal aur Sindh ki
provincial government mein shaamal ki gaee.
2008 meim
jub PPP ki government bunni tu ous waqt Chief of Army Staff go k Punjabi Kiyani
tha laykun es k bawajood Sindhi President of Pakistan aur PPP k Chairman
Zardari nay MQM ko PPP ki government ka hissa bunnaaya. Yeh he woh wahid mooqa
hy jub MQM, Muhajir Chief of Army Staff k na honay k bawajood Government ka
hissa bunnay mein kaamyaab hoi aur es ki wajah Sindhi President of Pakistan aur
PPP k Chairman Zardari ka MQM ko PPP ki government ka hissa bana kar Punjab aur
Punjabiyon k khalaaf MQM ko istamaal kar k Punjab ko Saraiki sazish k zariay
divide karna, Punjab mein PMLN ki Government ko khatum kar k PPP ki Government
banana ya Punjab mein Governor Rule he rakhna, Muhajir Dictator General
Musharraf ki taraf say PCO k zariay hataay gaay Punjabi Chief Justice of
Pakistan, Chaudhry Iftakhar ko restore na honay dayna, Muhajir Bureaucracy aur
Establishment ki support laykar Punjabi Bureaucracy aur Establishment ko corner
karna tha, jis mein yeh Sindhi President of Pakistan aur PPP ka Chairman,
Zardari naakaam raha.
No comments:
Post a Comment