Sunday, 3 July 2016

Pakistan mein kub tuk Ammn aur Sakoon nahi Hona?

Foreign Affairs, Military Bureaucracy, National Establishment, industry, Trade Business, Skilled Professions, National Media aur Baray Baray Shehroon par jis Qoom ki baalaadasti ho who Qoom "Powerful" hoti hoti hy aur politics es power ko hasil karnay ka raasta hy

Powerful honay k liay he her Fard, Community aur Qoom, politics kartay hain, jin ko “Power Players” kaha jaata hy. “Power Players” her daur mein khyl khyltay aa’ay hain es liay her jugha politics hoti hy aur her daur mein hoti aaee hy. Yeeh albata alug baat hy k kahein politics democratic system aur political ethics k tahat hoti hy aur kahein in k baghair, dictatorial methods aur political conspiracies k zariay.

Pakistan k bunnay say pehlay bhe “Power” ka khyl howa tha jis mein haar Punjabi ki hoi aur Hindi-Urdu Speaking Hindustani (UP, CP Waalay) “Power Players” khyl jeet gaay.

British India ki sub say bari nation Hindi-Urdu Speaking Hindustani (UP, CP Waalay) thay, Bengali 2nd bigger nation thay jub k Punjabi 3rd, Telgu 4th, Marathi 5th, Tamil 6th, Gujrati 7th, Kannada 8th, Malayalam 9th, Oriya 10th bigger nation thay.

British India ko two nation theory ko bunyaad bana kar, 2nd bigger nation Bengali aur 3rd bigger nation Punjabi ko religion ki base par divide kar k Muslman Bengaliyon aur Muslman Punjabiyon ko Pakistan mein shamal kar k aik tu India ki 2nd aur 3rd bigger nations ko divide kar diya gayaa dosra British India ki 4th, 5th, 6th, 7th, 8th, 9th, 10th bigger nations ko Hindi Speaking Hindustaniyon ki domination mein day diya gayaa, teesra Urdu Speaking Hindustani Muslmano ko Pakistan laa kar Pakistan ka Prime Minister bana diya gayaaPakistan ki Qoomi Zabaan bhe in Gunga Jumna culture waalay Hindustaniyon ki Zabaan Urdu ko bana diya gayaa. Pakistan ka Qoomi labaas bhe in Gunga Jumna culture waalon ki Sherwani aur Pajaama bana diya gayaa. Pakistan ki Government, Constitutional Assembly, Bureaucracy, Establishment, Politics, Media, Urban Centres, Educational Institutions par in Urdu Speaking Hindustaniyon ko dominate karwa diya gayaa.

Jaisa k her daur mein  “Power Players” khyl khyltay hain, es liay ab bhe Pakistan mein “Power” ka khyl ho raha hy. Es waqt Pakistan mein es khyl k baray baray “Power Players” Muhajir, Punjabi aur Pathan hain kyon k Sindhi aur Baloch “Power Players” ka game local ya phir ziyaada say ziyaada provincial level tak ka hota hy, kyon k Foreign Affairs, Military Bureaucracy aur National Establishment mein Sindhi aur Baloch “Power Players” mojood he nahi hain, swaay Agriculture aur Politics k, Industry, Trade Business, Skilled Professions aur National Media mein bhe in ki position kamzoor hy jub k baray baray shehroon par, jahaan mass mobilization ziyaada kamyaab hoti hy, wahaan bhe in ka control nahi hy, es liay, assal game Muhajir, Punjabi aur Pathan “Power Players” mein hota raha hy aur ho raha hy, kyon k in ka game national he nahi international level ka hy. Albatah Sindhion ko kabhi kabhaar “National Political Power” ka khyl khylnay ka mooqa mil jaata hy, woh bhe jub Punjabi “Power Players” in ko support kardain ya Muhajir aur Pathan “Power Players” in ko Punjabi “Power Players” k maqaablay k liay support kar dain.

Foreign Affairs, Military Bureaucracy aur National Establishment mein Muhajir, Punjabi aur Pathan “Power Players” nay morchay sumbhaalay hoay hain. Muhajir, Punjabi aur Pathan “Power Players” mein say bhe assal maqaabla Muhajir aur Punjabi “Power Players” mein he hy kyon k Pathan “Power Players” ki Muhajir “Power Players” k maqaablay mein Foreign Affairs, Military Bureaucracy aur National Establishment mein position kamzoor hy jub k Politics k elaawa, Industry, Trade Business, Skilled Professions aur National Media mein bhe Pathan “Power Players” ki Muhajir “Power Players” k maqaablay mein position kamzoor hy jub k baray baray shehroon par, jahaan mass mobilization ziyaada kamyaab hoti hy, wahaan bhe Pathan “Power Players” ki position itni mazboot nahi hy jitni Muhajir “Power Players” ki hy. Beharhall, Pathan “Power Players” ki ahmiyat apni jugha barqraar hyKhass toor par Punjabi “Power Player” k maqaablay mein Muhajir “Power Player” k sath alliance ki soorat mein ya Muhajir “Power Player” k sath maqaablay mein Punjabi “Power Player” k sath alliance ki soorat mein.

Foreign Affairs, Military Bureaucracy, National Establishment, Industry, Trade Business, Skilled Professions aur National Media mein, Punjabi “Power Player” k baad sub say ziyaada mazboot position Muhajir “Power Player” ki hyjub k baray baray shehroon parjahaan mass mobilization ziyaada kamyaab hoti hy, wahaan bhe Punjabi “Power Player” k baad sub say ziyaada mazboot position Muhajir “Power Player” ki he hy, es liay Muhajir aur Punjabi “Power Players” mein alliance k bajaay competition aur confrontation k imkaanaat ziyaada hain.


Jub tak Foreign Affairs, Military Bureaucracy aur National Establishment mein Punjabi aur Muhajir “Power Players” ka game kisi aik “Power Player” k dosray “Power Player” par wazih baladasti haasil hojaanay ki soorat mein kisi nateejay par nahi ponhach jaata, ous waqt tak Pakistan mein Ammn aur Sakoon nahi hona. Agriculture, Industry, Trade Business, Skilled Professions, Media aur Politics say wasta rakhnay walay logoon nay apnay apnay “Power Player” ki kamyaabi aur makhaalaf “Power Player” ki shakkast k liay apnay apnay “Power Player” ki ja baja himaayat aur mokhaalaf “Power Player” ki ja baja mokhaalfat kartay rehna hy. Mazhab, Firqay, Nasal aur Qoom ko bunyaad bunna kar apnay logoon ko unite aur mokhaalfon ko divide karnay ka silsla rooz ba rooz barhta rehna hy. Pathan, Sindhi aur Baloch “Power Players” ko bhe es sorthaal mein apna kirdaar aik “Power Player” ki himaayat aur doosray ki mokhaalfat ki soorat mein adda karna parna hy.

No comments:

Post a Comment