Sindh k
rural areas mein Sindhi aur urban areas mein Muhajir majority hy . 1985 mein Sindh
k rural areas k Sindhi ki majority PPP mein thi aur urban areas k Muhajir ki
majority Jamaat-e-Islami (JI) aur Jamiat Ulema-e-Pakistan (JUP) mein laykun
1985 mein Non-Party base par Pakistan ki national aur provincial assemblies k
elections k baad, Martial Law khatam kar k, ous waqt k President of Pakistan,
General Zia-ul-Haque k plan k matabaq, Pakistan Muslim League-Junejo (PML-J) ka
qiyaam ammal mein laaya gayaa. Jis ki wajaah say PML-J Sindh k rural areas aur
urban areas ki sub say bari aur ruling party bun gaee .
1985 mein
Pakistan Muslim League-Junejo (PML-J) ka Central President aur Prime Minister
of Pakistan, Sindhi Muhammad Khan Junejo, PML-J Sindh ka President aur Chief
Minister of Sindh, Sindhi Ghous Ali Shah, k bun jaanay, PML-J mein national
level par Sindhi, Punjabi, Pathan aur Baloch ka ghulba ho janay, jub k, Sindh k
rural areas mein tu Sindhiyon ki majority aur Muhajiron ki domination nahi thi
laykun Sindh k urban areas par bhe, jahaan Muhajiron ki majority thi, PML-J ki
domination ho jaanay aur Pakistan ki federal government, Sindh government aur
PML-J par Muhajiron ka control na ho paanay ki wajah say, 1986 mein MQM ko
ammli toor par Karachi aur Hyderabad say siyaasat k maidaan mein uttaara gayaa
ta k MQM k platform say Sindh k urban area par Muhajiron ki siyaasi baalaadusti
qaim karwa kar Sindh k baray baray shehroon par Muhajiron ka mokammal control
qaim karwa kar, rural areas k Sindhiyon ko Sindh k urban areas par dominate
honay say rook kar, Sindh k urban areas k Muhajir dominated honay ki bunyaad
par, Muhajiron ki Federal aur Sindh ki Provincial Government k liay siyaasi
ehmiyat ko yaqeeni bana kar, Muhajir Bureaucrats aur Establishment ko permanent
political support provide hotay rehnay ka intzaam kiya ja sakay.
Pakistan
ki federal aur Sindh ki provincial government, PML-J k pass honay k bawajood
1987 mein honay walay local bodies election mein PML-J k bajaay MQM ko Karachi
aur Hyderabad say elect karwa kar Karachi aur Hyderabad k Mayors MQM k banwaay
gaay, jis ki wajaah say Karachi aur Hyderabad k local government k departments
aur local affairs mein Urdu Speaking Hindustani Muhajir nay total dominating
position hasil karna shoro kardi jis say provincial aur federal government k
departments ko pressurize aur blackmail karnay k sath sath strikes, jalaao,
ghairaao, bhata khori, aghwa, qatal aur gharatgiri ka silsla bhe shoro ho
gayaa.
1987 mein
Chief of army Staff tu Punjabi General Zia-ul -Huq tha laykun , Chairman Joint Chiefs of Staff Committee
Muhajir General Akhtar Abdu Rehman tha , jo
k 1979 say 1987 tak ISI ka Director General bhe raha aur Vice Chief of Army Staff, Muhajir
General Mirza Aslam Baig tha . MQM durassal , Foreign Affairs, Military
Establishment aur Civil Bureaucracy mein mojood Muhajir “Power Players” ka aik
political wing hy .
Foreign
Affairs, Military Establishment aur Civil Bureaucracy say retired UP,
CP k Urdu Speaking Hindustani Muhajir “Power Players” MQM ki Policymaking
kartay hain.
Foreign
Affairs, Military Establishment aur Civil Bureaucracy mein mojood
UP, CP k Urdu Speaking Hindustani Muhajir “Power Players” MQM ko Patronize
kartay hain.
Anti-Pakistan
Proxy Players aur India k liay Proxy Agent
ka role play kanay waalay Urdu Speaking Hindustani Muhajir “Power Players” MQM ko Facilitate
kartay hain.
Print
Media aur Electronic Media k Urdu Speaking Hindustani Muhajir “Power
Players” MQM ko Advertise kartay hain.
Educational
Institutions aur Skilled Professions k Urdu Speaking Hindustani
Muhajir “Power Players” MQM ko Propagate kartay hain.
Criminal aur Illegal
Business karnay waalay Urdu Speaking Hindustani Muhajir “Power Players” MQM ko Support
kartay hain.
Political aur Social
Activist Urdu Speaking Hindustani Muhajir “Power Players” MQM ko Organize
kartay hain.
No comments:
Post a Comment