Wednesday, 28 October 2015

Ab Punjab Teen Nahi Rahain Gay. Aik Punjab Hoga.

Punjab ki geographical land aur Punjabi nation par es waqt aik say ziyaada hakoomtain hain.

Aik Punjab tu Pakistan mein hy jis mein Muslman Punjabi rehtay hain.

Dosra Punjab India mein hy jis mein Sikh Punjabi rehtay hain.

Teesra Punjab bhe India mein hy jis mein Hindu Punjabi rehtay hain.

1947 say pehlay yeh Punjab aik he Punjab tha jis mein Muslman Punjabi, Sikh Punjabi, Hindu Punjabi aur Christian Punjabi aapas mein mil jul kar rehtay thay.

Ab teenon Punjab phir say aik ho jaanay hain. Muslman Punjabiyon ka apna area hoga. Sikh Punjabiyon ka apna area hoga. Hindu Punjabiyon ka apna area hoga. Christian Punjabi pehlay he Muslman Punjabiyon k area mein sub say ziyaada reh rahay hain.

Muslman Punjabiyon, Sikh Punjabiyon, Hindu Punjabiyon k areas mil kar Greater Punjab k naam say Punjabi State bunaein gay, jo Secular Punjabi State hoga. Punjabi Nuclear State hoga. Indian Subcontinent ka sub say ziyaada Taqatwar sur Taraqi yaafta State hoga.


Greater Punjab k wajood mein aanay say India ki Marathi nation, Bhojpuri nation, Telugu nation, Tamil nation, Rajasthani nation, Kannada nation, Gujarati nation, Oriya nation, Malayalam nation, Assamese nation aur Hindu Bengali ko bhe apni social, economic aur political prosperity k liay India ki Gunga Jumna culture waali Hindi/Hindustani Nation say azaadi mil jaay gey.

No comments:

Post a Comment