Punjabi
Qoom k Religious ground par divide honay aur Punjab ko divide karnay ki wajaah
say, jis mein 20 Lakh Punjabi maaray gaay aur 2 Crore Punjabi displace ho gaay,
Punjabi, Punjabi nahi raha tha balkay sirf Muslman aur Pakistani bun gayaa tha;
Apni
zabaan Punjabi ko chor char k Gunga Jumna ki zabaan Urdu ko Pakistan ki Qoomi zabaan bunaanay k
chakar mein para raha.
Pakistan ko
Qoomon ka mulk honay k bajaay Muslmano ka mulk bunaanay k chukar mein para raha.
Yeh he
wajah thi k, Punjabiyon say bari Qoom Bengali ka Punjabi Qoom k sath
confrontation apni jagaah laykun West Pakistan ki chooti chooti Qoomon,
Sindhi, Baloch, Pathan aur Urdu Speaking Hindustaniyon tak nay Punjabi Qoom k Punjabi k bajaay sirf Muslman
aur Pakistani bun jaanay ki wajaah say Punjabi, Punjabi keh keh kar khoob
gaaliyaan dyn.
Punjabi
in Sindhiyon, Balochon, Pathano aur Urdu Speaking Hindustaniyon ko Muslman aur Pakistani ka durs bhe dayta
raha aur galiyaan bhe khaata raha.
Laykun,
waqt sub say bara ustaad hy.
Saath
rehnay k baad he asliyat ka pata chulta hy.
Pakistan k
bunnay k 68 saal k baad ab waqt nay aur sath rehnay nay boht kuch sikha bhe
diya aur samjha bhe diya.
Ab
Punjabi sooch aik baar phir say tabdeel ho rahi hy.
Ab
Sindhiyon, Balochon, Pathano aur Urdu Speaking Hindustaniyon k liay Punjabi wo
nahi raha jo guzishta 68 saal raha.
Kyon
k, ab Punjabi k nazdeek yeh Sindhi, Baloch, Pathan aur Urdu Speaking Hindustani
maazi ki tarha Muslman aur Pakistani nahi balkay Sindhi, Baloch, Pathan aur
Urdu Speaking Hindustani he hain aur Punjabi ab phir say Punjabi bunta ja raha
hy.
Future
mein zahir hy ab wo nahi hoona jo past mein ho chuka.
Punjabi
k liay ab Sindhi, Baloch, Pathan aur Urdu Speaking Hindustani
say gaaliyaan kha kha kar aur blackmail ho ho kar rehna boht mushkal nazar aa
raha hy.
Punjabi
ki sooch mein Sindhi, Baloch, Pathan aur Urdu Speaking Hindustani k liay
guzishta 68 saal ki interaction k baad ab boht baari change aati jaa rahi hy
jis say abhi aam Sindhi, Baloch, Pathan aur Urdu Speaking Hindustani waaqif
nahi k, Punjabi ab Punjabi Qoom Parast bunta ja raha hy.
No comments:
Post a Comment