Kisi bhe state ki national language tu wo language hoti hy jo
ous state ki majority population boolti ho.
Pakistan ki 4% population Balochi boolti
hy.
Pakistan ki 8% population Pushto boolti
hy.
Pakistan ki 8% population Urdu boolti hy.
Pakistan ki 12% population Sindhi boolti
hy.
Jub k,
Pakistan ki 60% population Punjabi as first language boolti hy jub k Punjabi
language ko as second language boolnay waalay es k elaawa hain.
Sawal
paida hota hy k Pakistan ki 60% population k Punjabi as first language boolnay
k bawajood Punjabi k bajaay Pakistan ki 8% population ki as a first language
booli jaanay waali zabaan Urdu ko Pakistan ki national language kyon banaaya
gayaa hy?
India ki 25% Hindustani nation
(Hindi-Urdu speaking, U.P, CP people of Gunga Jumna) ki Hindi zabaan, India ki national language hy.
India
ki 25% population ki zabaan honay k bawajood, India k educational institutions,
government offices, electronic aur print media, foreign relationship k liay
Hindi zabaan ko he priority di jaati hy.
Laykun,
Indus Valley Civilization k area par qaim Pakistan ki 60% Punjabi population ki
Punjabi zabaan, Pakistan ki national language kyon nahi
hy?
Pakistan
ki 80% population k Punjabi zabaan bool aur samajh laynay k bawajood, Pakistan
k educational institutions, government offices, electronic aur print media,
foreign relationship k liay Punjabi zabaan ko kyon priority nahi di jaati?
No comments:
Post a Comment