Great Punjabi nation ki land Punjab hy. Delhi say laykar Peshawar aur Kashmir say laykar Kashmor tak ka area Punjab hy.
Laykun, Kashmor say lay kar Karachi tak ka area bhe es liay Punjab mein add karna parna hy k;
Aik tu Sindh, Sindhi say sambhulta nahi, Karachi ka Urdu Speaking Hindustani Bhaiya, Sindhi ko dominate karta ja raha hy, Sindh k urban areas par qabiz hota ja raha hy.
Doosra, rural Sindh mein Baloch aur Syed pehlay say he Sindhi ko dominate karnay k baad, Sindh k rural areas par qabza kiay baitha hy.
Teesra, Sindhi politically mature honay par abhi tuk tiyaar nahi, Punjab aur Punjabi say confrontation karnay say baaz nahi aata.
Chotha, Kashmir say laykar Karachi tak Punjab ka area extend karnay say Gwadar k coastal city ko bhe Punjab mein include kiya jaa sakay ga.
Paanchwa, Sindh Province ko tu 1936 mein wajood mein laaya gayaa jub k yeh area assal mein Wadi-e-Sindh ka part hy aur Wadi-e-Sindh ka area Delhi say laykar Peshawar aur Kashmir say laykar Karachi tak he tha aur Punjabi Qoom Wadi-e-Sindh ki sub say burri Qoom hy.
No comments:
Post a Comment