Wednesday, 28 October 2015

Kya Global Players Punjabi Qoom Ko Mazeed Divide Karain Gay Ya Ab Unite Karain Gay?

British k Afghanistan aur Punjab par qabzay k waqt British Empire nay 1894 mein Afghanistan aur FATA k darmiyaan Durand line khainch kar alug alug areas bananay k baad 1901 mein Punjab k western areas ko Punjab say alug kar k North West Frontier Province (NWFP) bana diya, jis ka ab naam KPK hy.

FATA aur NWFP ko wajood mein laanay ka maqsad British ki strategic planing thi k Russia chon k Afghanistan k zariay Warm Water tak ponhach sakta hy es liay zaroori tha k Russia aurWarm Water k beech Afghanistan buffer zone ho aurAfghanistan k buffer zone ko FATA aur NWFP say cover supportdi jaay jub k full backup support Punjab say milay.

Maharaja Ranjeet Singh k waqt say laykar aaj tak UK raha ho ya USA, Afghanistan par Qabza Punjab ki backup support say he raha, yeh he wajah thi k jub 2nd world war k baad Great Britain nay apni colonies ko independent karnay ka program banaya tu British India ko India aur Pakistan mein divide kar k Punjab aur Punjabion ko bhe Religious ground par divide kar k Muslim Punjabion ka mindset Punjabi Nationalism say switch kar k Secular k bajaay Religious Fundamentalism ki tarf divert kar diya ta k Afghanistan k buffer area mein Muslim Ideology ki grooming kar k Russian Socialism k sath ideological conflict day kar rakha jaay jub k Pakistan mein say Pro-Muslim Emotions aur Anti-Socialistic Sentiments ki base par Russia k against, Afghanistan ko NWFP (KPK) say cover support aur Punjab say fullback support dilwaai jaay.

Pehlay 
UK aur Russia mein Warm Water tak pohenchnay aur na ponhuchnsy ki Cold War thi. Phir USA aur Russia k durmiyaan k durmiyaan1979 say 1988 tak khatarnaak jung hoee, jis mein NWFP (KPK) say Afghanistan ko cover support aur Punjab say full backup support milnay ki wajah say he USA ko Russia k khalaaf Afghanistan mein kamyaabi haasil hoi.

Ab USA aur China mein Warm Water ki Cold War ho rahi hy. Russia aur USA ki Warm Water War mein importance Afghanistan k Pathan areas ki thi laykun China aur USA k durmiyaan Warm Water War mein importance FATA k Pathan areas ki hy. Baluchistan aur Sind sirf Pathan areas tak ponhuchnay k liay entry points aur logistic corridor rahay hain laykun Pathan areas ko buffer zone bana kar rakhnay k liay backup support hamaisha Punjab he ki rahi hy, essi liay, her daur mein Pathano k Sardar bhe Punjabion k contact aur control mein he rahay hain aur Punjabion say faida hasil kartay aur Punjabion ki policy k matabaq apnay areas mein khidmaat injaam daytay rahay hain.

Maharaja Ranjeet Singh k intaqaal k baad Punjab bhe directly British k control mein chala gayaa tha laykun ous k bawajood Punjabi Qoom k UK aur USA say relationship boht achay rahay hain es liay he UK mein sub say ziyaada Punjabion ko he facilitate aur settle kiya gayaa jub k USA, Canada, Australia aur European countries mein bhe subcontinent mein say sub say ziyaada Punjabi he hain.

Ab chon k USA aur China mein Warm Water ki Cold War ho rahi hy jis mein buffer zone FATA hy jis ko cover support KPK ki hy laykun full backup support beharhall Punjab say he milni hy jo k USA ka old strategic partner honay k sath sath China ka neighbor bhe hy jis ki wajah say yeh laazmi ammar hy k Punjab ous tarha say FATA k area ko China k khalaf istamal nahi honay day ga jaisay Afghanistan ko Russia k khalaf istamal kiya gayaa, na KPK say waisi he cover support daynay day ga jaisi Russia k khalaf KPK say di jaati rahi aur na ous tarha say Punjab khud full backup support day ga jaisi Russia k khalaf Punjab nay di es liay he USA nay Punjab ki arm-twisting kar k Punjab ko Regions aur Dialects mein divide kar k FATA k liay Punjab ki full backup support ko khatam karna chaha jis k liay Musharraf ki management mein Muhajir-Sindhi partnership qaim karwa kar, NRO k zariay Musharraf aur MQM k sath Sindhion ki party PPP ka compromise karwa kar, Pathano ki party ANP ko es mein shamal kar k, Baluchistan mein Baluchistan ki azaadi ki tehreek chalwa kar aur Punjab mein say Race, Region aur dialects ki base par politics karnay waalay politicians ko es sazish ka hisa bana kar Punjab ko Regions aur Punjabion ko dialects mein divide karnay ki koshish ki jis mein Muhajir Musharraf ki naakaami k baad Sindhi Zardari ko samnay laa kar Sindhon ki Sind based political party PPP ka Muhajiron ki Karachi based political party MQM, Pathano ki KPK based political party ANP, Punjab k opportunist, race oriented aur feudalist politicians ki political party PMLQ k sath alliance karwa kar Punjab mein race, region aur dialects k issues ko highlight kar k Saraiki Province ki conspiracy ko kaamyaab karnay ki koshish ki gaee ta k Punjab ko Regions aur Punjabion ko dialects mein divide kiya ja sakay laykun phir naakaami hoee. Na sirf naakaami hoee balkayPunjab mein Punjabi Nationalism nay boht ziyaada zoor pakar liya.

Ab sawaal yeh paida hoota hy k;

Kya USA ki Punjab ko Regions aur Punjabion ko dialects mein divide kar k Punjab k Afghanistan aur FATA mein backup support waalay role ko khatam karnay ki koshish kaamyaab ho jaay gey?

Kya USA, Punjab ko Regions aur Punjabion ko dialects mein divide kiay baghair, Punjabi Qoom ko, China ko Warm Water tak ponhunchnay say rooknay k liay, USA ki FATA mein support karnay par tiyaar kar lay ga?

Kya USA ki Punjab ko Regions aur Punjabion ko dialects mein divide kar k Punjab k Afghanistan aur FATA mein backup support waalay role ko khatam karnay ki koshish ko China ya Russia nay counter kar k Punjabi Qoom ki support hasil karnay k liay Punjab ko Regions aur Punjabion ko dialects mein divide hoonay say buchaanay k liay Punjabi nationalism ko support kar k na sirf Punjab ko Regions aur Punjabion ko dialects mein divide hoonay say buchaanay ki koshish karni hy balkay 1901 aur 1947 mein Punjab k divide kiay gaay areas ko unite kar k United Punjab aur Secular Punjabi Nation restore karwa dayna hy?

Kya USA ab Punjab ko Regions aur Punjabion ko dialects mein divide karnay k bajaay, Punjabi nationalism ko support kar k 1901 aur 1947 mein Punjab k divide kiay gaay areas ko unite kar k United Punjab aur Secular Punjabi Nation restore karwa kar Punjab aur Punjabi Qoom ko USA aur China k darmiyaan hoonay waalay Warm Water Game mein neutral position par rakhnay ki koshish karay ga ta k Punjabi Qoom, USA aur China k darmiyaan hoonay waalay Warm Water Game mein na USA ko support karay aur na China ko?

Beharhaal, Punjabi Qoom k liay sub say important sawaal yeh hy k;

Kya USA, China aur Russia ki Warm Water, Great Global Game of Communication and Energy Corridors ki wajah say Punjab aur Punjabi Qoom mazeed divide honay waalay hain ya divided Punjab aur Punjabi Qoom phir say United Punjab aur Secular Punjabi Qoom bunnay waala hy?

No comments:

Post a Comment