Punjabi Zabaan ka Shahmukhi writing script Farsi mein hy .
Urdu
bhe Farsi writing script mein likhi jaati hy .
Farsi
taweel arsay tak Punjab ki official langue rahi hy .
Maharaja
Ranjeet Singh ki hakoomat k waqt bhe Punjab ki official language Farsi he
thi .
Punjabi
zabaan ko jub Farsi writing script mein likh jaata tha, ous waqt tu Urdu zaban
wajood mein he nahi aaee thi.
Khari
booli ko 1800 century mein jub Urdu zabaan mein tabdeel kiya gayaa tu Urdu k
liay bhe Farsi writing script ikhtiyaar kiya gayaa jo k Muslman Punjabi,
Punjabi likhnay k liay, pehlay he 1200 century say Shahmukhi writing script k
naam say ikhtiyaar kiay hoay thay.
Punjabi
ka Gurumukhi writing script 1500 century mein Sikh Dhurm k wajood mein aanay k
baad, Guru Granth Sahib likhnay k liay istamal karna shoro kiya gayaa.
No comments:
Post a Comment