Sindh k
residents 42% Sammat hain jo k actual aur original Sindhi hain. 17% Kurdish
background hain jo khud ko Baloch kehlwaatay hain. 1% Arabic background hain jo
khud ko Abbasi, Ansari, Gilliai, Jillani, Qurashi, Siddiqui etc kehlwaatay hain.
42%
Sammat, 17% Baloch aur 1% Arabic ko jo k Sindh ki population ka 60% buntay
hain, Sindhi kaha jaata hy.
Jub k 19%
UP, CP k Urdu Speaking Hindustani, 10% Punjabi, 7% Pathan, 4% others ko jo k
Sindh ki population ka 40% buntay hain, Sindhi nahi kaha jaata hy.
Historically,
Sindh ki 42% Sammat population tu centuries say Arabic background
Abbasi, Ansari, Gilliai , Jillani, Qurashi , Siddiqui etc aur Baloch
k under domination rehnay ki wajaah say aik suppressed nation hy .
Arabic aur Baloch
k under domination rehnay ki wajaah say Sammat mein martial
race k ingredients tu kya apni he land par rule karnay ki ability aur apnay rights k liay struggle karnay ki
capacity tak nahi rahi .
Sindh par Pakistan k bunnay say pehlay ;
1843 say
laykar 1947 tuk 104 saal British ka rule tha .
1783 say
laykar 1843 tuk 60 saal Talpur Baloch ka rule tha .
1701 say
laykar 1783 tuk 82 saal Abbasi Kalhora ka rule tha .
1591 say
laykar 1701 tuk 110 saal Mughal ka rule tha .
1554 say
laykar 1591 tuk 37 saal Turkic Tarkhan ka rule tha .
1520 say
laykar 1554 tuk 34 saal Turkic Arghun ka rule tha .
1335 say
laykar 1520 tuk 185 saal Samma ka rule tha .
1024 say
laykar 1335 tuk 311 saal Soomra ka rule tha .
712 say
laykar 1024 tuk 312 saal Arab ka rule tha .
1520 say
laykar 1554 tuk 34 saal Turkic Arghun, 1554 say laykar 1591 tuk 37
saal Turkic Tarkhan, 1591 say laykar 1701 tuk 110 saal Mughal aur 1701 say laykar 1783 tuk 82 saal Abbasi Kalhora k baad 1783 say laykar 1843 tuk 60 saal Talpur Baloch ka rule tha. Talpur Baloch
ruling mind-set thay , na k martial race.
Abbasi Kalhora k pass Army
Abbasi Kalhora chon k martial race nahi balkay ruling elite thay jis ki wajaah say Abbasi Kalhora ki apni Army nahi thi jis ki wajaah say Abbasi Kalhora elite ka Sindh par rule karna moshkal ho gayaa tha, es liay Sindh par rule karnay k liay Abbasi Kalhora ko Punjab say Talpur Baloch laanay paray ta k Abbasi Kalhora ruling elite aur Baloch ruling elite mil kar Sindh ko rule kar sakain laykun Sindh aanay k baad Sindh par Abbasi Kalhora ruling elite k sath mil kar Sindh par rule kartay rehnay k bajaay Talpur Baloch nay Mughal Emperors ki suzerainty say Halaani mein Abbasi Kalhora k sath laraai kar k Sindh par Abbasi Kalhora ka rule khatam kar k, khud rule karna shoro kar diya tha.
Pakistan k bunnay k baad Pakistan ka Prime Minister UP k Urdu Speaking
Hindustani Liaquat Ali Khan k bun jaanay say aur Karachi k Pakistan ka capital
bun jaanay k baad September 1948 mein Pakistan ki government service mein
immigrants k liay 15% aur Karachi k liay 2% Quota rakh kar Liaquat Ali Khan nay
UP, CP say Urdu Speaking Hindustani laa kar Karachi aur Sindh k dosray baray
cities mein settle karna shoro kar diya aur Hindu Sammat ko Sindh say nikaal
diya.
Centuries say Arabic backgroundaur Baloch k under domination rehnay
ki wajaah say Sindh ki Sammat population pehlay tu supresed nation thi laykun ,
Hindu Sammat ko Sindh say nikaal daynay say Sindh mein Sindh
ki actual, original aur majority population, Sammat ki population bhe kum ho gaee jis ki wajaah say
Sindh k urban areas par UP, CP ki Urdu Speaking Hindustani ruling elite ki aur Sindh
k rural areas par Arabic background aur Baloch background ruling
elite ki total domination ho gaee.
Centuries say Arabic background
No comments:
Post a Comment