Saturday, 8 July 2017

Sindh Mein Sindhi Kon Hain?

Sindhi tu Hindu thay jin ko Pakistan k bunnay k baad Sindh say nikaal diya gayaa, ya phir Sindhi wo hain jo Hindu say Muslman hoay aur un ko Sammat kaha jaata hy.

Yeh Arabic, Afghani, Baloch background Muslman, jo Pakistan k qiyaam k baad, Sindhiyon ko Sindh say nikaal kar Sindhi bunnay baithay hain, yeh Sindhi nahi hain, yeh Arabistan, Afghanistan, Iran, Iraq, Kurdistan say aa kar Sindh par qabiz aur Sindhiyon ko ghulaam bunanay waalay lootairay hain jo Pakistan k bunnay say pehlay tak Muslman bunnay hoay thay aur Sindh mein rehnay waalay 45% Hinduon k sath maqablay k liay 55% Muslmano ko, jin mein 1901 aur 1932 mein Punjab say aa kar Sindh ki zameenain abaad karnay waalay lakhon Muslman Punjabi bhe shaamal thay, un ko Islam k naam par unite kar k Sindh par hakomut karnay k liay Sindhi Hinduon k dushmun bunnay hoay thay.

Waisay es waqt Sindh k Urban Areas k malik tu Punjabi, Pathan, Rajasthani, Gujrati, Bihari, UP Waalay, CP Waalay hain. Sammat Sindhi hon ya Arabistan, Afghanistan, Iran, Iraq, Kurdistan say aa aa kar Sindh par qabiz honay waalay lootairay, yeh Sindh k Rural Areas k Gaon, Gothon mein rehtay hain.

No comments:

Post a Comment