14 seats waalay Balochon k political leaders nay Balochon ko "Punjabi
Phobia" mein mubtla kar k Balochon ko Baloch politics tak mehdood kar diya.
20
seats waalay Muhajiron k political leaders nay Muhajiron ko "Punjabi
Phobia" mein mubtla kar k Muhajiron ko Muhajir politics tak mehdood kar
diya.
41
seats waalay Sindhiyon k political leaders nay Sindhiyon ko "Punjabi
Phobia" mein mubtla kar k Sindhiyon ko Sindhi politics tak mehdood kar
diya.
47
seats waalay Pathano k political leaders nay Pathano ko "Punjabi
Phobia" mein mubtla kar k Pathano ko Pathan politics tak mehdood kar diya.
Kya Balochon,
Muhajiron, Sindhiyon, Pathano k political leaders ki taraf say un ko
"Punjabi Phobia" mein mubtla kar daynay k baad kya Punjabi bhe
Balochon, Muhajiron, Sindhiyon, Pathano say budzun ho chukay hain?
Kya
Punjabi ab apna time aur talent sirf Punjab ki government aur federal
government k affairs tak rakhay ga jub k Baluchistan k affairs Baloch, Karachi
k affairs Muhajir, Sindh k affairs Sindhi, KPK k affairs Pathan ko khud he
resolve karnay parain gay. Sawaay un affairs k jin ka taulq Pakistan k national aur international
affairs say ho?
Kya Balochon,
Muhajiron, Sindhiyon, Pathano k political leaders un ko "Punjabi
Phobia" mein mubtla kar k local level aur provincial level ki hud tak un
par rule tu kar rahay hain laykun Balochon, Muhajiron, Sindhiyon, Pathano ka
Pakistan k national affairs mein kya bunnay ga?
Kya Pakistan k national au r international
affairs ki policy making au r decision taking a b Punjabi khu d he kiya karay ga?
No comments:
Post a Comment