Friday, 5 February 2016

Punjabi Qoom Sind mein 7 Soobay bunwaa Sakti hy.

Punjab mein rehnay waalay Arabi nasal, Baloch nasal, Pathan nasal Jageerdaron ki taraf say Punjab aur Punjabi Qoom ko taqseem karnay k liay Saraiki k naam say aik naee Qoom aur Sooba bunaanay ki saazish ko Sindhi politicians, intellectuals aur journalists ki taraf say motivate, patronize, propagate aur support karnay k jawaab k tour par Punjabi Qoom Sind mein 7 Soobay bunna sakti hy.

National assembly mein 150/272 seats Punjab say honay kiwajaah say 2/3 majority k zariay constitutional amendmentkarwaana Punjabi Qoom k liay koe masla nahi.

Sind mein bunnay waalay 7 Soobay es tarh say hon gay;

1. Upper Sindh k Saraiki speakings k liay Saraiki Sooba.

2. Central Sindh k Vicholi speakings k liay Vicholi Sooba.

3. Lower Sindh k Lari speakings k liay Lari Sooba.

4. Eastern Sindh k Thari or Thareli or Dhatki speakings k liayThar Sooba.

5. South Western part of Sindh k Lasi speakings k liay LasiSooba.

6. South Eastern Sindh k Kachhi speakings k liay Kutch Sooba.

7. South Sindh ki Punjabi, Pathan, Gujrati, Rajasthani, Bihari aur UP, CP communities k liay Karachi Sooba.

No comments:

Post a Comment