Friday, 5 February 2016

Majority Nation Ki Wajaah Say Pakistan Ka Naam Punjabistan Hona Chaheay Tha.

1947 mein 20 Lakh Punjabi marwa kar, 2 Caroor Punjabi displace karwa kar, Punjab ko divide karwa kar Muslmano k liay jo Pakistan banaya gayaa tha wo 1971 mein East Pakistan k Bangladesh bun jaanay k baad khatam ho gayaa.

Yeh West Pakistan hy jis ka naam Pakistan rakh diya gayaa. Darassal 60% Punjabi majority ki wajaah say West Pakistan ka naam Pakistan nahi balkay Punjabistan rakhna chaheay tha. 1973 k constitution mein West Pakistan ka naam Kha Makhwa Pakistan rakh kar confusion paida kiya gayaa.

Beherhaal, ab kisi paraishani ki zaroorat nahi. Yeh Pakistan ya Punjabistan kahein nahi jaata. Es nay aysay he rehna hy. Punjabi apni zameen ka aik inch bhe nahi choora karta es liay es Punjabistan ya Pakistan say zameen ka aik inch bhe ab alug nahi ho sakta.

Yeh sub Muhajiron ka propaganda hy jo her waqt Pakistan khatray mein hy, Pakistan toot jaana hy. Bengal ki tarha Pakistan ka falaan area Pakistan say alug ho jaana hy ka roona rootay rehtay hain ta k Pakistan k awaam mein intashaar paida ho.

Pakistan k Non-Punjabi, Sindhi, Muhajir, Baloch, Pathan, es baat ka khiyaal rakhain k Pakistan ko toornnay, Pakistan say alug honay k naaray maar kar ab Punjab aur Punjabion ko blackmail karnay mein faaida aik takay ka nahi hoona balkay nuqsaan boht ziyaada ho jaana hy kyon k Pakistan ab boht ziyaada taqatwar bhe ho jaana hy aur mazboot bhe. Insha Allah.

No comments:

Post a Comment