Jis
tarha Pakistan mein abaadi k lihaaz say sub say bara Sooba Punjab hy
waisay he India mein abaadi k lihaaz say sub say bara Sooba Utter
Pardesh (UP) hy.
India
mein es waqt bhe UP ki population 20 Caroor hy jub k sary Pakistan ki
population 18 Caroor hy laykun es k bawajood UP ko divide kar k mazeed Soobay
nahi bannaay ja rahay balkay India ki dosri nations ko Dialects aur Regions ki
base par divide kiya ja raha hy ta k Utter Pardesh k Hindi-Urdu Speaking
Hindustaniyon k khalaf India mein koe Qoom khari na ho sakay laykun Pakistan
mein Gunga ulti beh rahi hy.
Chotay
Soobon k loog tu Punjab aur Punjabion ko apnay neechay lagaay rakhnay k liay
Punjab ko Regions aur Punjabion ko Dialects mein divide karna chahtay he hain
laykun kuch Ghadaar Punjabi aur Punjab k under rehnay waalay kuch Punjab aur
Punjabi Qoom k Dushmun bhe Punjab aur Punjabion ko divide kar k tabaah wa
barbaad karnay par tulay baithay hain.
Agar
Soobay banaanay say Ammun, Sakoon aur Khush-haali aa jati hy tu area k lihaaz
say Baluchistan, Pakistan ka sub say bara Sooba hy jub k Baluchistan mein
Balochon k elaawa Punjabi, Pashto, Brahui, Makrani, Rukhshani, Sulemani, Lasi,
Hazargi, Sindhi, Saraiki, Dehvari, Persion, Tajik, Hindko, Uzbik, Hindki bhe
rehtay hain es liay Baluchistan k 3 soobay; Quetta, Qalat, Makran banaa dayna
chaheain ta k Baluchistan mein Ammun, Sakoon aur Khush-haali aa jaay aur
Baluchistan k Punjabi, Pashto, Brahui, Makrani, Rukhshani, Sulemani, Lasi,
Hazargi, Sindhi, Saraiki, Dehvari, Persion, Tajik, Hindko, Uzbik, Hindki bhe
taraki karain.
Pakistan
mein Sind Sooba abaadi k lihaaz say dosra bara Soobs hy jub k Sind mein
Sindhion k elaawa Punjabi, Saraiki, Urdu, Pashto, Kachhi, Thari, Lasi, Lari,
Vicholi, Gujrati, Rajasthani, Brahui, Makrani, Rukhshani, Sulemani bhe rehtay
hain es liay Sind k bhe 3 Soobay, Karachi, Hyderabad, Sukkur bana daynay
chaheain ta k Sind mein Ammun, Sakoon aur Khush-haali aa jaay aur Sind k
Punjabi, Saraiki, Urdu, Pashto, Kachhi, Thari, Lasi, Lari, Vicholi, Gujrati,
Rajasthani, Brahui, Makrani, Rukhshani, Sulemani bhe taraki karain.
KPK
1901 tak Punjab ka he part tha . British nay Punjab k
Western areas ko Punjab say alug kar k North Western Frontier Province (NWFP)
banaa diya tha jis ka Sindhi Zardari ki Sindhi party PPP ki government k doraan
naam NWFP k bajaay Khyber Pukhtoon Khawa (KPK) kar diya gayaa. KPK k bhe 3 Soobay;
Peshawar, Abotabad, Dera Ismail Khan bana daynay chaheain ta k KPK mein Ammun,
Sakoon aur Khush-haali aa jaay aur KPK k Punjabi, Buneri, Chitrali, Derawali,
Hazara, Kohati, Kohistani, Peshawari, Sawabi, Sawati bhe taraki karain.
Punjab tu Punjab hy.
Punjab, Pakistan ka abaadi k lahaaz say sub say bara Sooba aur Punjabi,
Pakistan ki sub say bari Qoom hy es liay Punjabi Qoom ko bhe Pakistan par Raaj
karnay ka waisay he haque hy jaisay Utter Pardesh k Hindi-Urdu Speaking
Hindustaniyon ko huque hy k India ki sub say bari Qoom honay k naatay mein
India par Raaj karain. Khud apnay aap ko unite rakhain aur doosri Qoomon ko
Regions aur Dialects mein divide kartay rahain.
No comments:
Post a Comment