Chief of Army Staff jub Muhajir ho tu MQM federal aur Sind
government mein na sirf shamal hoti hy balkay Pakistan k national aur
international affairs k sath sath Sind k provincial aur Sind k urban areas k
local affairs ki policy-making aur decision-taking par UP, CP k Urdu speaking
Muhajiron ko waazih baalaadusti haasil hoojaati hy laykun Chief of Army Staff
jub Muhajir na ho tu MQM mordaar ho jati hy jub k UP, CP k Urdu speaking
Muhajir Murjhaay Murjhaay say rehtay hain. Aysa kyon hota hy? Es k liay maazi k
haalaat aur waaqiaat par ghor karnay k sath sath MQM kub aur kysay wajood mein
aaee? Es ka bhe jaaiza layna paray ga.
General Zia k Martial Law k daur mein , General Zia k
Martial Law Administrator aur President of Pakistan honay ki wajah say General Mirza
Aslam Baig 1985 mein Chief of General Staff honay ki wajah say operational aur
intelligence k maamlaat mein khud mukhtiyar thay . March 1987 say Mirza Aslam
Baig Vice Chief of Army Staff bhe bun gaay , General Akhtar Abdu Rehman bhe 1979
say 1987 tak ISI k Director General rahay , MQM in he Muhajir Generals aur in k
Millitry Bureaucracy, Foreign Affairs aur National Establishment mein mojood
UP, CP k Muhajiron ka Brainchild hy .
MQM ko, Pakistan Muslim League ki qiyaadat k Sindhi Prime
Minister of Pakistan, Muhammad Khan Junejo k pass honay, Pakistan Muslim League
mein national level par Sindhi, Punjabi aur Pathan ka ghulba ho janay aur
Muhajiron ka control na honay ki wajah say, 1986 mein ammli toor par Karachi
aur Hyderabad say siyaasat k maidaan mein uttaara gayaa ta k MQM k platform say
Sind k urban area par Muhajiron ki siyaasi baalaadusti qaim karwa kar Sind k
baray baray shehroon par Muhajiron ka mokammal control karwa kar, Muhajiron ki
National aur Sindh ki Provincial Government k liay siyaasi ehmiyat ko yaqeeni
bana kar, Muhajir Bureaucrats aur Establishment ko permanent political support
provide hotay rehnay ka intzaam kiya ja sakay.
Pakistan ki federal aur Sind ki provincial government
Pakistan Muslim League k pass honay k bawajood 1987 mein honay walay local
bodies election mein MQM ko Karachi aur Hyderabad say elect karwa kar Karachi
aur Hyderabad k Mayors MQM k banwaay gaay , ous waqt Chairman Joint Chiefs of
Staff Committee Muhajir General Akhtar Abdu Rehman tha aur Vice Chief of Army
Staff, Muhajir General Mirza Aslam Baig tha .
1988 mein pehli baar jub PPP government mein MQM ko
shaamal kiya gayaa tu ous waqt Chief of Army Staff, Muhajir Mirza Aslam Baig
tha.
Jub PPP ki government nay 1990 mein MQM k khalaaf Pacca
Qila operation shoro kiya tu ous waqt bhe Chief of Army Staff, Muhajir Mirza
Aslam Baig he tha jis ki wajah say PPP government MQM k khalaaf operation
mokummal na kar saki.
1990 mein jub Nawaz Sharif ki hakomat mein MQM shaamal hoi
tu ous waqt be Chief of Army Staff, Muhajir Mirza Aslam Baig he tha.
1992 mein jub Nawaz Sharif nay MQM k khalaaf operation
kiya tu ous waqt Chief of Army Staff, Punjabi Asif Nawaz tha.
1993 mein jub dobaara PPP ki hakomat bunni tu ous waqt
Chief of Army Staff, Pathan Waheed Kakar tha, MQM ko hakomat mein shaamal nahi
kiya gayaa aur operation bhe jari raha.
1997 mein jub dobaara Nawaz Sharif ki hakomat bunni tu ous
waqt Chief of Army Staff, Muhajir Jehangir Karamat tha. MQM ko hakomat mein
shaamal kiya gayaa.
1998 mein jub Hakim Saeed k murder k baad MQM k khalaaf
operation shoro kiya gayaa tu Muhajir Jehangir Karamat nay Nawaz Sharif ki
hakomat ko disable karna shoro kar diya jis ki wajah say Jehangir Karamat ko
nikaal kar dosra Chief of Army Staff banana para laykun dosra Chief of Army
Staff bhe Muhajir he bana diya gayaa jo Muhajir Musharraf tha, jis nay Nawaz
Sharif ki hokomat he khatam kardi.
2001 mein , Muhajir Chief of Army Staff, Musharraf ki
hakomat k daur mein Altaf Hussain nay UK k Prime Minister Tony Blair ko letter
likha jis k baad MQM ki taraf say Pakistan mein jaasoosi karnay aur MQM ko
Pakistan ki federal aur Sind government mein hissa daynay ka agreement howa ,
zahir hy Government of Pakistan ki marzi k baghair agreement nahi ho sakta tha
aur 2001 mein Muhajir Musharraf he Pakistan ka Chief of Army Staf aur Chief
Executive tha , ous nay he agreement k liay consent diya hoga .
2002 k election k baad PMLQ ki hakomat bunni tu ous waqt
bhe Chief of Army Staff, Muhajir Musharraf he tha, MQM phir government mein aa
gai aur 2008 tak Government mein he rahi.
2008 meim aik baar phir say PPP ki government bunni tu ous
waqt Chief of Army Staff go k Punjabi Kiyani tha laykun es k bawajood Sindhi
President of Pakistan aur PPP k Chairman Zardari nay MQM ko PPP ki government
ka hissa bunnaaya. Yeh wahid mooqa hy jub MQM Muhajir Chief of Army Staff k na
honay k bawajood Government ka hissa bunnay mein kaamyaab hoi aur es ki wajah Sindhi
President of Pakistan aur PPP k Chairman Zardari ka MQM ko PPP ki government ka
hissa bana kar Punjab aur Punjabion k khalaaf MQM ko istamaal kar k Punjab ko
Saraiki sazish k zariay divide karna, Punjab mein PMLN ki Government ko khatam
kar k PPP ki Government banana ya Punjab mein Governor Rule he rakhna, Muhajir
Dictator General Musharraf ki taraf say PCO k zariay hataay gaay Punjabi Chief
Justice ko restore na honay dayna, Muhajir Bureaucracy aur Establishment ki
support laykar Punjabi Bureaucracy aur Establishment ko corner karna tha, jis
mein yeh Sindhi President of Pakistan aur PPP ka Chairman, Zardari naakaam
raha.
2013 mein aik baar phir say Nawaz Sharif ki government
bunni tu Chief of Army Staff, Punjabi Pervez Kayani tha, MQM ko government mein
shaamal nahi kiya gayaa.
2013 mein he Chief of Army Staff, Punjabi Raheel Sharif
buna, tu bhe MQM ko government mein shaamal nahi kiya gayaa .
Kya MQM Foreign Affairs, Military Bureaucracy aur National
Establishment mein mojood UP, CP k Hindustani “Power Players” ka aik political
wing hy ?
No comments:
Post a Comment