Saturday, 25 February 2017

Pakistan Military mein Foot-Soldiers aur Senior Command.

Pakistan Army mein 1971 mein Bengal k Pakistan say alug ho kar Bangladesh bunnay tak Foot-Soldiers ki majority Punjabi ki thi aur Punjabi k baad Pathan thay jub k Army k Chief Pathan rahay aur Army ki senior command mein Pathano k baad Urdu Speaking Hindustani thay laykun Bengaliyon k sath zulm aur ziyaadtiyon ka ilzaam Punjabi Fooj par lagaya jaata hy, Pathano aur Urdu Speaking Hindustaniyon ka zikar tak nahi balkay yeh Pathan aur Urdu Speaking Hindustani bhe dhitaee k sath Punjabi Fooj, Punjabi Fooj keh kar Bengaliyon par zulm aur ziyaadti ka ilzaam Punjabiyon par lagaatay hain.

1971 mein Bengal k Pakistan say alug ho kar Bangladesh bunnay k baad bhe Pakistan Army k Foot-Soldiers ki majority Punjabi ki he hy aur Punjabi k baad Pathan hain jub k Army k Chief of Staff Punjabi rahay ya Urdu Speaking Hindustani, swaay aik Pathan Army Chief Abdul Waheed Kakar k, jub k Army ki senior command mein Punjabiyon k baad Urdu Speaking Hindustani hain aur ous k baad Pathan.

No comments:

Post a Comment