Thursday, 16 February 2017

Punjabi Sindh Mein Kub Kub Aur Kiyon Ga'ay?

Punjabi Sindh mein 1900 say pehlay bhe jaakar abaad hoay aur 1901 k baad bhe. 1900 say pehlay Sindh mein jaanay waalay Punjabi kub kub aur kin wajohaat say Sindh mein abaad hoay, es par tahqeeq ki zaroorat hy laykun 1901 mein jub Naara Canal bani tu Sindh Bombay Presidency ka hisa tha aur British Government nay Sindh mein agricultural development k liay Punjabion ko Punjab say lay ja kar lands allot ken. Kya ous waqt Sindhion nay Muslman Punjabion k Sindh mein settle karnay ko oppose kiya tha?

History bataati hy k ous waqt British Government nay agricultural development k liay Sindh mein 16 acre tak free zameenain allot ki thein aur Sindhion nay na sirf Punjabion k Sindh mein abaad honay ki makhaalfat nahi ki thi balkay free mein allotment milnay k baawajod boht kum Sindhion nay zameenain allot karwa kar zameeno ko develop karnay mein dilchspi lee thi.

1932 mein Sukkur Barrage ki construction k waqt British Government nay Sindh ki agricultural lands ko develop karnay k liay phir say Punjab say Punjabion ko Sindh mein lay jaana chaha laykun chon k aik tu zameeno ko free allot kar k develop karnay k bajaay allotment zameeno ki category k matabaq cost lay kar ki ja rahi thi dosra Punjab mein bhe ous waqt Canal System develop ho raha tha es liay Punjabi, Sindh jaanay mein dilchuspi nahi lay rahay thay.

British Government nay chon k Bombay Presidency say alug kar k Sindh ka Provincial status restore karna tha, jis k baad Sindh mein government bunaanay k liay election honay thay es liay G.M Syed aur 1937 mein Sindh ka Chief Minister bunnay waalay Allah Bux Soomro Sahib khud Punjab aa'ay aur Muslman Punjabion ko raazi kiya k Sindh mein jaa kar Sindh ki agricultural lands develop karain ta k Sindh ki agricultural development kar k Sindh ki revenue ko burhaanay k sath sath Sindh mein Muslmano ki abaadi mein bhe izaafa ho aur Sindh ko Muslim dominate province rakh kar Sindh ko 
Bombay Presidency say alug bhe kiya ja sukkay, Sindh k urban areas mein, government services sector aur Business sector mein Hindu ki domination ka bhe moqaabla kiya ja sukkay, jub k Sindh  mein Government bhe Muslmano ki banaee ja sakay. Sindh ki ous waqt population 60% Muslman aur 40% Non-Muslim thi laykun Bombay Presidency mein honay ki wajaah say Bombay Presidency mein majority Hindu ki bun jaati thi. Es liay he ous waqt Sindh mein conflict Sindhi v/s Punjabi nahi, Muslman v/s Hindu tha. (This is very serious note, Sindhi intellectuals and politicians are requested to discuss it with historical reference, not neglect it with abusing and loathing, it is a serious matter and will be discussed by the Punjabi nationalists at some time with Sindhi leaders).

1947 mein jub 
Punjab ko divide karwa kar Pakistan bunaya gayaa, Punjabi ous waqt bhe Sindh ga'ay, laykun wo Punjabi, Sindh k rural areas, jahaan Muslman Sindhi rehtay thay ya 1900 say pehlay aur 1901 mein aur 1932 mein jaanay waalay Punjabi rehtay thay, wahaan settle honay k bajaay Sindh k un urban areas mein settle hoay, jahaan Hindu rehtay thay ya Karachi ga'ay jo ous waqt Pakistan ka capital tha.

Punjabi 1956 mein Ghulaam Muhammad Barrage ki construction k waqt bhe ga'ay. Ous waqt Sindh as province nahi tha kyon k One Until ka zamaana tha. Punjabion ko Ghulaam Muhammad Barrage ki zameenain allot nahi honi chaheain thein aur na Punjabion ko ous waqt Sindh jaana chaheay tha, kyon k in zameeno ki allotment k baad he Sindh mein Punjabion aur Sindhion k darmiyaan ikhtlaafaat hona shoro howay jub k 1900 say pehlay, ya 1901, 1932 aur 1947 mein Pakistan k qiyaam k baad jaanay waalay Punjabion ki wajaah say Sindh mein Sindhion aur Punjabion k darmiyaan ikhtalaaf ya tanaaza kahein nazar nahi aata.

One Unit na bunta tu shayid Punjabi Sindh mein jaatay bhe na bulkay Ghulaam Muhammad, jis nay One Unit bunaya ya jis k zamaanay mein One Unit bunaya gayaa, beherhaal, One Unit na hota tu provincial subject honay ki wajah say Sindh ki Agricultural lands ko develop karnay k liay West Pakistan Government phir Ghulaam Muhammad Barrage na bunnati balkay Sindh Government he Barrage banaati aur Sindh Government he zameenain allot karti.

Punjabi 1960 k baad bhe Sindh mein ga'ay laykun Karachi mein. Yeh bhe ghalat ga'ay. Ayoub Khan nay apnay Martial Law k daur mein West Pakistan k One Unit honay ki wajaah say Karachi ko Industrial Zone declare kar k Industry lagaanay k liay permit jaari karnay ka silsla shoro kiya aur Industry ka permit sirf Karachi ya Hyderabad k liay diya jaata tha jahaan industrial zones bunnaay gaay thay, jis ki wajaah say Punjabion ko Karachi ya Hyderabad ja kar industry lagaana pari. Wo tu acha howa k MQM nay 1986 mein Karachi say Punjabion ki industries bund karwaana shoro kien tu Punjabi wapus Punjab aana shoro hoay aur Punjab mein Industries lagaanay k liay industrial zones bunnay lagay aur Punjabion nay apni industries ko Punjab shift karna shoro kar diya. Es waqt Punjab mein jis taizi k sath industries lug rahi hain ous nay 5-7 saal baad aik dilchusp soorithaal paida ka dayni hy k Karachi ki industrial production, jis ki sub say bari market Punjab hy, jub Punjab khud industrial production mein surplus ho jaay ga tu Karachi ki industry ki marketing Punjab mein kaisay hogi?

No comments:

Post a Comment