Tuesday, 28 February 2017

Urdu aur Hindi Speaking Hindustaniyon ki Saazish.

Pakistan ko under say Urdu Speaking Hindustani aur paroos say Hindi Speaking Hindustani tabaah kar rahay hain aur yeh silsla 1950 say jaari hy jub Pakistan ka prime minister Urdu Speaking Hindustani Liaquat Ali khan aur Bharat ka prime minister Hindi Speaking Hindustani Jawaharlal Nehru thay.

Urdu Speaking Hindustani Liaquat Ali khan nay 1947 mein Pakistan k qiyaam say laykar 1950 tuk k arsay mein, Pakistan ki national language Urdu kar k, Pakistan par Urdu media ko dominate kar k, Pakistan par Urdu Speaking Hindustani establishment ko dominant kar k, Pakistan k educational curriculum ko Gunga Jumna related kar k Pakistan ki Punjabi, Sammat, Hindko, Brohi, Bengali nations par Urdu Speaking Hindustaniyon ka raaj qaim karwa diya.

Hindi Speaking Hindustani Jawaharlal Nehru nay 1947 mein Pakistan k qiyaam k baad say laykar 1950 tuk k arsay mein, Bharat ki national language Hindi kar k, Bharat par Hindi media ko dominate kar k, Bharat par Hindi Speaking Hindustani establishment ko dominant kar k, Bharat k educational curriculum ko Gunga Jumna related kar k Bharat k Punjabi Sikhon, Punjabi Hinduon, Bengali Hinduon, Telgu Nation, Tamil Nation, Kannada Nation, Bhojpuri Nation, Marathi Nation, Gujarati Nation, Rajasthani Nation aur Bharat ki deegar communities aur tribes par Hindi Speaking Hindustaniyon ka raaj qaim karwa diya.

Pakistan k qiyaam say laykar Pakistan ki policymaking Urdu Speaking Hindustaniyon k pass hy aur Bharat ki policymaking Hindi Speaking Hindustaniyon k pass hy. Policymaking par control ki wajaah say he Pakistan mein Urdu Speaking Hindustani, Pakistan ki Punjabi, Sammat, Hindko, Brohi nations ko aur Hindi Speaking Hindustani, Bharat k Punjabi Sikhon, Punjabi Hinduon, Bengali Hinduon, Telgu Nation, Tamil Nation, Kannada Nation, Bhojpuri Nation, Marathi Nation, Gujarati Nation, Rajasthani Nation aur Bharat ki deegar communities aur tribes ko aapas mein bud-zun kar k lurwaatay rehtay hain jub k khud yeh Urdu Speaking Hindustani aur Hindi Speaking Hindustani aapas mein lurnay k bajaay aik doosray k mofaadaat ko support kartay hain ta k Pakistan aur Bharat ki nations, communities aur tribes par Gunga Jumna culture aur traditions ki domination barqraar rakh kar, un par raaj kartay rahain.

No comments:

Post a Comment