Thursday 11 May 2017

Karachi Mein Industrial Sector Develop Karna Ghulti Thi.

Rizq k zaraay 3 hotay hain. 1. Agricultural sector 2. Industrial sector 3. Services sector.

Punjab ki population Pakistan ki population ka 62% hy. Agricultural sector mein tu Punjab k log engage hain laykun Pakistan k qaim honay k baad Punjab mein he Industrial sector ko develop karnay k bajaay Karachi mein Punjabiyon nay Industrial sector aur Services sector develop kar k ghulti ki.

Karachi mein Punjabiyon k Industrial sector aur Services sector develop karnay ki wajaah say Punjabiyon ko Rizq k liay Karachi jaana parta tha. Ab Industrial sector ki Punjab mein development say Punjab mein he Rizq k zaraay paida honay lugay hain.

Karachi gaay hoay Industrialists bhe apni Industries waapas Punjab laa rahay hain. Industrial sector ki Punjab mein development say Punjab mein Services sector mein bhe izaafa hoga. Services sector mein kaam karnay waalay Punjabi ab Karachi say Punjab waapas aanay lagain gain. Balkay Non-Punjabi bhe Rizq k liay Punjab aanay lagay hain.

Punjab mein Agricultural sector k baad Industrial sector aur Services sector mein izaafay say Punjabiyon ko Punjab say bahir nahi jaana paray ga.

Pakistan ki 62% population k pass option hoga k Punjab mein he, chahay tu Agricultural sector k zariay Rizq hasil karain. chahay tu Industrial sector k zariay Rizq hasil karain. chahay tu Services sector k zariay Rizq hasil karain.

No comments:

Post a Comment