Tuesday 9 May 2017

Sindh Aur Baluchistan K Punjabi Kya Karain?

Sindh aur Baluchistan mein rehnay waalay Punjabion ko chon k Sindh aur Baluchistan ki local aur provincial governments mein representation nahi di jaati, es liay Sindh aur Baluchistan k Punjabion ka political point of view samnay nahi aata aur na he Sindh aur Baluchistan k Punjabion ko political rights aur government facilities mil paati hain.

Sindh aur Baluchistan mein rehnay waalay Punjabion ko chon k Sindh aur Baluchistan ki local governments aur provincial governments mein government services bhe nahi di jaatein, es liay Sindh aur Baluchistan k Punjabion ko chaheay k Sindh aur Baluchistan ki local aur provincial governments mein government services k liay apply karnay k bajaay federal government ki services k liay apply kiya karain.

Federal Government ko chaheay k Sindh aur Baluchistan mein rehnay waalay Punjabion ko chon k Sindh aur Baluchistan ki local governments aur provincial governments mein government services nahi di jaatein, es liay Sindh aur Baluchistan mein rehnay waalay Punjabion ko federal government ki services di jaein.

Punjab Government ko bhe chaheay k Sindh aur Baluchistan mein Punjabion k sath manasab salook na honay ki wajah say jo Punjabi waapas Punjab aana chahtay hain un k liay Punjab Government mein Services ka Quota rakha jaay, un k bachon k liay Medical aur Engineering Colleges mein Seats reserve ki jaein aur residential schemes bana kar Sindh aur Baluchistan say Punjab waapis aanay waalon ki Punjab mein settlement mein support ki jaay.

Sindh aur Baluchistan k Punjabion ko chaheay k apnay maslay aur maamlat k hul par dhiyaan dain. Sindh aur Baluchistan k maslay aur maamlat wo daykhain jin k pass Sindh aur Baluchistan mein political representation aur government services hoti hain.

Sindh aur Baluchistan mein rehnay waalay Punjabion ko chaheay k aapas mein cooperation par ziyaada dhiyaan dain ta k apna future Sindh aur Baluchistan mein secure kar sakain.

Sindh aur Baluchistan mein serve karnay waali Punjabi Establishment ko chaheay k Sindh aur Baluchistan mein rehnay waalay Punjabi k sath jis qadar ho sakay cooperation karain ta k Sindh aur Baluchistan mein rehnay waalay Punjabi ki jis qadar ho sakay madud ki ja sakay.

No comments:

Post a Comment