Kaha jata hai k Baluchistan pe Kabza kiya gaya aur jab poocha jaye k kaun si
jaga pe kabza hua toh bina kisi khuaf se kehte hain k Kalat pe kabza hua۔
Agar hum Maan b lein k Kalat pe qabza hua toh phir ye
batayen jo 77% Baluchistan ka hissa hai woh toh Pakistan mein shamil ho chuka tha yani
Waazey aksariyat k mutabek Baluchistan apni merzi se shamel hua Pakistan mein.
Rahi baat Kalat ki, Kalat Baluchistan nahe tha, Angrezon ki banaye hue
5 Riyasaten thin Baluchistan k ilaqey mein, Jismein Kharan, Makran, Les-Bela,
Kalat aur British-Baluchistan ka Sooba b tha, jis k andhar Quetta, Dera Bugti,
Kholu sameth Pashtun ilaqey bhi shameel thay, aur en Sab rayasaton k pas yeh
haq majood tha k woh ya Pakistan jayen ya Hindustan, un sab ne Pakistan jaaney
ka faisla kiya.
Kalat k members khud 1 saal tak azad rehne ki baat kertay
rahay jab k baaki tamam Riyasat Pakistan mein jazb ho chuki thin, Jab Khan of
Kalat ne yeh faisla kiya k Pakistan mein shamil hona hai toh us faisaley ki
mukhalfat kertay huay Kuch Nawab Afghanistan ki maddat se Pakistani riyasat
mein shamel honay ko deshatgardi k zariye rokne ki koshishon mein lag-gaye.
Aakhir Kar Kalat b Pakistan mein shamil hua bakkiya
Baluchistan ki terhan, humein sawal yeh Puchna chahiye k 23% ilaqa jo 4 traf se
Pakistan k andhar Majood ho woh kesey ek
Alag Riyasat reh sakti hai?
Ya Phir woh kesey pooray Baluchistan ki numa-indagi kerney ka dawah
rakhta hai?
No comments:
Post a Comment