1967 mein one unit ka zamaana tha, Lahore mein PPP ko bana kar Sindhi Bhutto ko party ka Chairman bana diya gayaa.
Chon k 1958 say Pakistan par Pathano ki Military Dictatorship thi . East Pakistan mein Mujeb alug hoonay ki movement chala raha tha. Sind mein G.M Syed Sindhi Qoom Parasti ki baatain kar raha tha. KPK mein Ghafar Khan aur Wali Khan Pathan Qoom Parasti ki baat kar rahay thay. Baluchistan mein Mari, Bugti, Mengal, Baloch Qoom Parasti ki baat kar rahay thay. Aysay mein West Pakistan ki sub say bari Qoom, Punjabi nay Punjab say leadership paida karnay k bajaay aik Sindhi ko Punjab ka leader banaa kar ous ka bhe baira gharaq kiya, apna bhe aur Sindhion ka bhe.
Jis tarha 1990 mein Punjabion nay pehli baar Punjabi leader aur Pakistan ka Prime Minister banaaya, waisay he yeh kaam agar 1967 mein Punjabion nay kar liya hoota tu na Bhutto maara jaata, na Punjab aur Punjabion ka nuqsaan hoota. Jub k kisi Sindhi ko, Pathano aur Balochanon ki tarha, Punjab ka leader aur Prime Minister of Pakistan bunnay ka mooqa bhe, kabhi na milta.
1958 say Pakistan par Pathano ki Military dictatorship say tung Punjabion ko West Pakistani Bhutto acha laga. Punjabion ko kya pata tha k jis Bhutto ko Punjabi, West Pakistani samajh rahay hain ous nay Sindhion aur Punjabion ko qareeb karnay k baad Pathano aur Balochon ko bhe aapas mein qareeb laa kar Pakistan ki assal Qoomon Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch ko sheer shakar karnay k bajaay ulta khud bhe Sindhi bun k aur Sindhion ko apni siyaasi taqat bunna kar khud ko chotay soobon ka leader bananay ki koshish kar k Sindhion, Pathano, Balochon ko Punjab aur Punjabion k khalaf mahaaz aara karnay ki koshish karni hy, ta k Punjabi Qoom siyaasi qiyaadat say mehroom reh kar hamaisha k liay Bhutto ki ghulaam bunni rahay.
Sindhion k choon k khawaab wa khiyaal mein bhe na tha k khud leader bunnay k bajaay, West Pakistan ki 60% Punjabi population honay k bawajood, Punjabi Qoom kisi Sindhi ko Pakistan k leader aur Prime Minister bhe bana sakti hy, es liay Sindhi Bhutto k Prime Minister of Pakistan bannay k baad Sindhion nay na sirf Pakistan ki federal government ka Sindhi k pass honay ka bharpoor faaida uthaaya balkay Punjab aur Punjabion ko bhe Ragra lagasna shoro kar diya. Punjab ko choor, daako, lutaira qaraar dayna shoro kar diya. Punjab ko saamraaj qaraar day day kar Punjab aur Punjabion par woh woh ilzaamaat lagaana shoro kar diay jin ka zumaydaar ya tu Muhajir tha ya phir Pathan. Balkay Punjab aur Punjabion par aysay aysay ilzaamaat bhe lagaana shoro kar diay jin jin ka khud Punjab aur Punjabi nashaana bunnay hoay thay ta k Punjab aur Punjabi apnay jaiz huq say mehroom he rahain aur apnay jaiz huq ki baat karnay k bajaay Punjab aur Punjabion par lugnay waalay ilzaamaat ki wazahtain he kartay rahain.
Pakistan mein pehli baar Sindhi k Prime Minister of Pakistan bunnay nay aam Sindhi ko bhe Chauvinist bana diya jis ki wajaah say Sindhi na kisi kaam ka raha na kaaj ka. Balkay in Sindhion nay Punjab mein bunnay waali PPP ko bhe Sind ki party bana diya, balkay Rural Sind aur Sindhion ki party bana diya۔
Bhutto mein agar Political Wisdom hota tu West Pakistan ki 60% Punjabi population ka mandate milnay k baad Punjab aur Punjabion k trust ko qaim rakhta aur Sindhion k Punjabion k sath interaction ko behtar karta jis k baad Pathan aur Baloch bhe Punjabion aur Sindhion k sath mix-up ho jaatay jis say Pakistan ki assal Qoomon k aapas mein cooperation ki wajaah say Pakistan bhe taraki karta aur Pakistan ki assal Qoomain, Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch bhe taraki kartein. Bhutto chon k Pakistan ki assal Qoomon Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch k darmiyaan aik Bridging aur Binding Force hota es liay Bhutto bhe sirf Sindhion ka he nahi balkay Pakistan ki assal Qoomon Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch ka leader hoota jub k PPP bhe sirf Rural Sind k Sindhion ki party bun kar na reh jaati balkay Pakistan k saray Soobon aur Pakistan ki assal Qoomon Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch ki party honay ki wajaah say Pakistan level ki political party hoti.
No comments:
Post a Comment