British
India ki sub say bari nation Hindi-Urdu Speaking Hindustani thay (UP, CP
Waalay), Bengali 2nd bigger nation thay jub k Punjabi 3rd, Telgu 4th, Tamil
5th, Marathi 6th, Bhojpuri 7th, Gujrati 8th bigger nation thay.
British
India ko two nation theory ko bunyaad bana kar, 2nd bigger nation Bengali aur
3rd bigger nation Punjabi ko religion ki base par divide kar k Muslman
Bengaliyon aur Muslman Punjabiyon ko Pakistan mein shamal kar k aik tu India ki
2nd aur 3rd bigger nations ko divide kar diya gayaa dosra British India ki 4th,
5th, 6th, 7th, 8th bigger nations ko Hindi Speaking Hindustaniyon ki domination
mein day diya gayaa, teesra Urdu Speaking Hindustani Muslmano ko Pakistan laa
kar Pakistan ka Prime Minister bana diya gayaa. Pakistan ki Qoomi Zabaan bhe in Gunga
Jumna culture waalay Hindustaniyon ki Zabaan Urdu ko bana diya gayaa. Pakistan ka Qoomi labaas bhe in Gunga
Jumna culture waalon ki Sherwani aur Pajaama bana diya gayaa. Pakistan ki
Government, Constitutional Assembly, Bureaucracy, Establishment, Politics,
Media, Urban Centres , Educational Institutions par in Urdu Speaking
Hindustaniyon ko dominate karwa diya gayaa .
Foreign
Affairs, Military Bureaucracy, National Establishment, Industry, Trade
Business , Skilled Professions, National Media aur Baray Baray Shehroon par jis
Qoom ki baalaadasti ho woh Qoom “Powerful” hoti hy aur politics es power ko
hasil karnay ka raasta hy . Powerful honay k liay he her Fard , Community aur
Qoom, politics karti hy , jin ko “Power Players” kaha jaata hy . “Power Players”
her daur mein khyl khyltay aa’ay hain es liay her jugha politics hoti hy aur
her daur mein hoti aaee hy. Yeh albata alug baat hy k kahein politics
democratic system aur political ethics k tahat hoti hy aur kahein in k baghair ,
dictatorial methods aur political conspiracies k zariay .
Foreign
Affairs, Military Bureaucracy aur National Establishment mein Muhajir, Punjabi
aur Pathan “Power Players” nay morchay sumbhaalay hoay hain. Muhajir, Punjabi
aur Pathan “Power Players” mein say bhe assal maqaabla Muhajir aur Punjabi
“Power Players” mein he hy kyon k Pathan “Power Players” ki Muhajir “Power
Players” k maqaablay mein Foreign Affairs, Military Bureaucracy aur National Establishment
mein position kamzoor hy jub k Politics k elaawa, Industry, Trade Business,
Skilled Professions aur National Media mein bhe Pathan “Power Players” ki
Muhajir “Power Players” k maqaablay mein position kamzoor hy jub k baray baray
shehroon par, jahaan mass mobilization ziyaada kamyaab hoti hy, wahaan bhe
Pathan “Power Players” ki position itni mazboot nahi hy jitni Muhajir “Power
Players” ki hy. Beharhall , Pathan “Power Players” ki ahmiyat apni jugha
barqraar hy . Khass toor par Punjabi “Power Player” k maqaablay mein Muhajir
“Power Player” k sath alliance ki soorat mein ya Muhajir “Power Player” k sath
maqaablay mein Punjabi “Power Player” k sath alliance ki soorat mein .
Foreign
Affairs, Military Bureaucracy, National Establishment, Industry, Trade
Business , Skilled Professions aur National Media mein , Punjabi “Power Player” k
baad sub say ziyaada mazboot position Muhajir “Power Player” ki hy , jub k baray
baray shehroon par , jahaan mass mobilization ziyaada kamyaab hoti hy, wahaan
bhe Punjabi “Power Player” k baad sub say ziyaada mazboot position Muhajir
“Power Player” ki he hy , es liay Muhajir aur Punjabi “Power Players” mein
alliance k bajaay competition aur confrontation k imkaanaat ziyaada hain .
Jub
tak Foreign Affairs, Military Bureaucracy aur National Establishment mein
Punjabi aur Muhajir “Power Players” ka game kisi aik “Power Player” k dosray
“Power Player” par wazih baladasti haasil hojaanay ki soorat mein kisi nateejay
par nahi ponhach jaata, ous waqt tak Pakistan mein Ammn aur Sakoon nahi hona.
Agriculture, Industry, Trade Business , Skilled Professions, Media aur Politics
say wasta rakhnay walay logoon nay apnay apnay “Power Player” ki kamyaabi aur
makhaalaf “Power Player” ki shakast k liay apnay apnay “Power Player” ki ja
bajaa himaayat aur makhaalaf “Power Player” ki ja bajaa makhaalfat kartay rehna
hy . Mazhab, Firqay, Nasal aur Qoom ko banyaad bana kar apnay logoon ko unite
aur makhaalfon ko divide karnay ka silsla rooz ba rooz barhta rehna hy. Pathan,
Sindhi aur Baloch “Power Players” ko bhe es sorthaal mein apna kirdaar aik
“Power Player” ki himaayat aur doosray ki makhaalfat ki soorat mein adda karna
parna hy.
Punjabi
Pakistan ki population ka 60% aur Sindhi 12% hain, es liay Pakistan level per
Punjabi aur Sindh level per Sindhi ko democracy suit kerti hy laykun, UPite
(Urdu Bolnay walay Muhajir) chon k Pakistan mein sirf 2% hain es liay
Democratic system mein UPite (Urdu Bolnay walay Muhajir) k elect ho kar
Pakistan aur Sindh per RULE karnay ka imkaan tu rehta he nahein.
Yeh he
wajah thi k first Prime Minister of Pakistan, Liaquat Ali Khan k waqt say, Liaquat
Ali Khan k liay aur constitutional assembly k upites members k liay,
constituencies bananay k liay, UP, CP walon ko Karachi aur Sindh k dosray
cities mein la kar aabaad kiya gyaa, jo aaj Sindh aur Sindhion k liay tabahi ka
sabub banay hoay hain.
Punab
mein, khas tour per Punjab k cities Lahore aur Rawalpindi mein tu UP, CP Walay,
yaani Urdu Bolnay walay Muhajir, jin ko Punjabi MATARWA kehtay hain, 1849 say
aabad hotay aa'ay hain. Jo aaj Punjab aur Punjabion k liay tabahi ka
sabub banay hoay hain.
UP, CP
Walon (Urdu Bolnay walay Muhajir) ki tarf say Pakistan k qiyaam say lay ker yeh
propaganda chala aa raha hy k "Pakistan Mein Dictatorship Honi Chaheay,
Democracy Nahein", UP-ite politicians, journalists, intellectuals,
government servants, skilled professions, trade and business related Urdu
Speaking Persons nay yeh bar bar kar k bhe dekhaya, jis k liay inhon nay
"Punjab Aur Fooj" ko "Pakistan Aur Islam" k khatray mein
honay ka shoor machaa machaa kar aur "Fooj Aur Punjab" ko
"Pakistan Aur Islam Ko Bachanay Ka Wahid Zariyaa" karar day day kar
khob "Baywaqoof Banaya" aur Pakistan mien democratic political system
detail karwa kar dictatorship qaim karwa kar Pakistan ki national aur
international policy-making aur decision-taking apnay agenda k matabaq kartay
aur karwatay rahay.
No comments:
Post a Comment