Pakistan ki national assembly ki 272 seats mein say Punjab ki 150, Sind ki 41, KPK ki 35, Karachi ki 20, Baluchistan ki 14, FATA ki 12 seats hain.
Pakistan ki federal government bananay k liay requirement 137 seats ki banti hy jis k liay agar Punjab k elaawa dosray sub areas ki seats ko aik sath kar bhe liya jaay tu 122 seats bunti hain, es liay agar Punjab say bahir ki saari political forces aapas mein mil bhe jaein aur apnay areas mein say aik seat bhe Punjab ko na jaanay dain tu bhe jub tak Punjab say 15 seats na milain ous waqt tak Pakistan ki federal government nahi bana saktay jub k Punjab say 13 seats bahir chalay jaanay k bawajood Punjab tanha sirf Punjab ki seats k zariay he constitution ki requirement k matabaq federal government bana sakta hy.
FATA ki 12 seats ka mandate waisay tu FATA say elect honay waalay independent members k pass hy laykun as sal mein FATA k sectarian aur fascist tribes politics k naam par proxy role play kar rahay hain es liay in ko 2018 k election mein bhe sirf FATA tak he mehdood rehna paray ga khaas tour par Punjab say in ko na pehlay kabhi mandate mila hy aur na 2018 k election mein milna hy es liay 2018 k election mein FATA say seats hasil karnay waalon ko Punjab ki party ko federal government bananay k liay support karna paray ga ya oppose karna paray ga laykun federal government bananay ki khud koshish nahi kar saktay.
Baluchistan ki 14 seats ka mandate waisay tu Baluchistan National Party (BNP Pukhtoon Khawa Mili Awaami Party (PKMAP), Pakistan Muslim League Nawaz (PMLN) k pass hy laykun assal mein Baluchistan k racist aur fascist Tribal Sardar politics k naam par proxy role play kar rahay hain es liay in ko 2018 k election mein bhe sirf Baluchistan tak he mehdood rehna paray ga khaas tour par Punjab say in ko na pehlay kabhi mandate mila hy aur na 2018 k election mein milna hy es liay 2018 k election mein Baluchistan say seats hasil karnay waalon ko Punjab ki party ko federal government bananay k liay support karna paray ga ya oppose karna paray ga laykun federal government bananay ki khud koshish nahi kar saktay.
Karachi ki 20 seats ka mandate MQM k pass hy jo Muhajiron ki racist aur fascist party hy jo politics k naam par proxy role play kar rahay hain es liay in ko 2018 k election mein bhe sirf Karachi tak he mehdood rehna paray ga khaas tour par Punjab say in ko na pehlay kabhi mandate mila hy aur na 2018 k election mein milna hy es liay 2018 k election mein Karachi say seats hasil karnay waalon ko Punjab ki party ko federal government bananay k liay support karna paray ga ya oppose karna paray ga laykun federal government bananay ki khud koshish nahi kar saktay.
KPK ki 35 seats ka mandate PTI, PMLN, JUI aur JI k pass hy. PTI aur JI nay mil kar KPK mein Provincial Government banai hoi hy jo politics k naam par Religious Extremists ko support kar rahay hain es in ko 2018 k election mein bhe sirf KPK tak he mehdood rehna paray ga. Sind ki 41, Baluchistan ki 12 seats say ab bhe PTI aur JI ko mandate nahi mila aur na 2018 k election mein milna hy albata Karachi ki 20 aur Punjab ki 150 seats mein say in ko mandate mila hy. Karachi ki 20 seats mein say mandate milnay ki wajah in ka Karachi mein MQM ki racist aur fascist methodology ko counter karna tha es liay es he stance ki wajah say 2018 k election mein bhe in ko Karachi say mandate milay ga . Punjab ki 150 seats mein say in ko mandate milnay ki wajah PTI ka Punjab mein PMLN ko pasand na karnay, jub k PPP say maayoos Punjabion k liay aik alternative k tour par, aik choice bun kar saamnay aana tha. 2018 mein bhe PPP say maayoos Punjabion ka mandate in ko mil jaay ga laykun Punjabion mein barhti hoi Qoom Parasyi ki wajah say Imran Khan ka FATA mein Religious extremist ko support karna aur khud Imran Khan ka Pathan background Punjabi hona problem bun sakta hy jis ki wajah say 2013 k election k maqablay mein 2018 k election mein PTI ka mandate kum ho jaana hy, es liay 2018 k election mein PTI ko Punjab ki party ko federal government bananay k liay support karna paray ga ya oppose karna paray ga laykun khud federal government nahi bana sakay gey.
Sind ki 41 seats ka mandate PPP k pass hy jo Sindhion ki racist party hy jo politics k naam par Sind Card khyltay rahay hain, chotay soobon ko Punjab aur Punjabion k khalaaf unite kar k, chotay soobon mein Punjab aur Punjabion k liay nafrat paida kar k, chotay soobon mein wafaaq k khalaf nafrat paida kar k, Punjab say kuch mafaad parast Punjabi apnay sath mila kar Punjab ko Regions aur Punjabion ko Dialects mein divide karnay ka khyl khyl kar Punjab aur Punjabion ko yeh keh keh kar blackmail kar kar k Pakistan ki federal government hasil karnay mein kamyaab hotay rahay k Punjab aur Punjabion ko chotay soobon aur choti Qoomon say sirf PPP bacha sakti hy, Pakistan ko tootnay say sirf PPP bacha sakti hy, sirf PPP he wafaq ki alaamat hy laykun Punjab aur Punjabion nay ab achi tarha say PPP ki policy ko samakh liya hy es liay PPP ko na tu 2013 k election mein mandate mila aur na 2018 k election mein Punjabion ka mandate milna hy balkay 2013 k election mein PPP ko KPK ki 35 aur Baluchistan ki 14 seats say bhe mandate nahi mila aur na 2018 k election mein milna hy jub k Karachi ki 20 seats say na pehlay PPP ko mandate mila, na 2018 mein milna hy, es liay in ko 2018 k election mein sirf Sind tak he mehdood rehna paray ga, es liay 2018 k election mein Sind say seats hasil karnay waalon ko Punjab ki party ko federal government bananay k liay support karna paray ga ya oppose karna paray ga laykun federal government bananay ki khud koshish nahi kar saktay.
Punjab ki 150 seats ka mandate PMLN k pass hy jo Punjabion ki party hy jis nay Punjabion ko Punjab say bahir ki political parties aur personalities ki Ghulami say nijaat dilwaaee hy es liay in ko 2018 k election mein bhe sirf Punjab tak he mehdood rehna paray ga khaas tour par Punjab say bahir in ko na pehlay kabhi mandate mila hy aur na 2018 k election mein milna hy es liay 2018 k election mein Punjab k bahir say seats hasil karnay waalon ko Punjab ki party PMLN ko federal government bananay k liay support karna paray ga ya oppose karna paray ga kyon k Punjab k bahir say seats hasil karnay waalay khud federal government nahi banaa saktay.
Waisay bhe, Pakistan k bunnay k 68 saal k baad Pakistan k Muslman Punjabion ki boht bari taadaad ab Punjabi Nationalist bun chuki hy.
2013 say Punjabi nationalists nay Punjabi nationalism ki Seeding shoro ki thi .
2014 mein Punjabi nationalism k Seeds nay jur maarna shoro kar di thi.
2015 mein Punjabi nationalism k Seeds nay poday ki shakal ikhtiyaar kar lee thi.
2016 mein Punjabi nationalism k poday, darukht ki shakal ikhtiyaar kar rahay hain.
2017 mein Punjabi nationalism k darukht par Punjabi nationalism ka phull lugna shoro ho jaana hy. (Insha Allah)
2018 mein Pakistan k General Election hon gay. 2018 mein Punjabi Nationalists jo es waqt poday , darukht ki shakal ikhtiyaar kar rahay hain, ous waqt Punjabi nationalism ka phull say laday hoay nazar aaein gay aur Pakistan k 2018 k election jeet kar Pakistan mein pehli baar Punjabi Nationalists Government banaein gay jo Pakistan k Punjabi majority state honay ki wajaah say Pakistan ko Secular Punjabi State bunnaein gay aur Punjabi Nationalists Government Pathan, Baloch, Sindhi minorities ko apnay haath say un k justified social, political, economic aur administrative rights dain gay. (Insha Allah).
No comments:
Post a Comment