Aik tu
Sammat Sindhi hain jo assal Sindhi hain, yeh Hindu hain ya Hindu say Muslman
hoay.
Dosray
Bhutto, Bhatti, Mehar, Kalyar, Joya, Kachila, Kharal, Siyal, Khokhar, Khairay etc
casts k who Punjabi background Sindhi hain, jo 1900 say bhe boht pehlay say
Sindh mein reh rahay hain aur ab tu ghar mein aur aapas mein bhe Sindhi he boltay
hain.
Teesray
Arain, Jatt aur Rajput cast k woh Punjabi background Sindhi hain, jo 1901 aur 1932
mein ja kar Sindh mein abaad hoay. Sindh ka culture adopt kar laynay k baad ab
Sindhi he lugtay hain aur Sindhi language bhe booltay hain laykun ghar mein ya
aapas mein ab bhe Punjabi he booltay hain.
Chothay
Baloch background Sindhi hain, jo 1700 CE mein Abbasi Kalhoro k Sindh par
hakomat k daur mein Sindh aa’ay aur Abbasi Kalhoro say hakomat cheen kar Sindh
par hakomat karna shoro kar di aur mazeed Balochon ko laa kar Sindh mein
zameinain day kar abaad karna shoro kar diya. Yeh ziyaada tar apnay naam k sath
ab bhe Baloch zaroor likhtay hain jub k ziyaada tar ghar mein Balochi aur bahir
Saraiki booltay hain.
Paanchwain
Abbasi, Ansari, Gillani, Jillani, Qureshi, Siddiqui etc Arabic background Sindhi hain jinhon nay
Muhammad Bin Qasim k Sindh par qabzay k baad say mokhtalaf waqton mein Iran k
raastay Sindh aakar Aastaanay aur Mazaar bunna kar abaad hona aur Piri Mureedi
karna shoro kiya.
Rural Sind
par es waqt Sammat Sindhiyon aur Punjabi background Sindhiyon k moqaablay mein
Arabic background aur Baloch background Sindhiyon ki social, economic aur
political domination hy .
Sindh
k urban area Karachi mein Punjabi, Pathan, Rajisthani, Gujrati, Bihari, UP
Waalay aur CP Waalay rehtay hain jo khud ko Non-Sindhi kehlaatay hain.
Karachi
k Punjabioon, Pathano, Rajisthanio, Gujratioon, Biharioon, UP Waalon aur CP
Waalon ko na Sindhi aati hy aur na in ka Sindhiyon k sath business ya social
interaction hy aur na wo Sindhi bunnay ya khud ko Sindhi kehlwaanay par tiyaar
hain.
No comments:
Post a Comment