Tuesday, 21 June 2016

MQM K Morda Ghoray Mein Dobaara Jaan Kis Nay Daali?

MQM k khalaaf, 1998 mein jub Nawaz Sharif nay Military Operation shoro kiya tu ous waqt Chief of Army Staff, Muhajir Jehangir Karamat tha. Muhajir Jehangir Karamat nay Nawaz Sharif ki hakomat ko disable karna shoro kar diya jis ki wajah say Jehangir Karamat ko nikaal kar dosra Chief of Army Staff banana para laykun dosra Chief of Army Staff bhe Muhajir he bana diya gayaa jo Muhajir Musharraf tha, jis nay Nawaz Sharif ki hokomat he khatam kardi.

2001 mein, Muhajir Chief of Army Staff, Musharraf ki hakomat k daur mein Altaf Hussain nay UK k Prime Minister Tony Blair ko letter likha jis k baad MQM ki taraf say Pakistan mein jaasoosi karnay aur MQM ko Pakistan ki federal aur Sind government mein hissa daynay ka agreement howa, zahir hy Government of Pakistan ki marzi k baghair agreement nahi ho sakta tha aur 2001 mein Muhajir Musharraf he Pakistan ka Chief of Army Staf aur Chief Executive tha, ous nay he agreement k liay consent diya. Balkay, agreement karwaaya aur MQM k morda ghoray mein dobaara jaan daali. warna MQM tu ous waqt tak mordaar ho chuki thi.

2008 meim aik baar phir say PPP ki government bunni tu ous waqt Chief of Army Staff go k Punjabi Kiyani tha laykun es k bawajood Sindhi President of Pakistan aur PPP k Chairman Zardari nay MQM ko PPP ki government ka hissa bunnaaya. Yeh wahid mooqa hy jub MQM Muhajir Chief of Army Staff k na honay k bawajood Government ka hissa bunnay mein kaamyaab hoi aur es ki wajah Sindhi President of Pakistan aur PPP k Chairman Zardari ka MQM ko PPP ki government ka hissa bana kar Punjab aur Punjabion k khalaaf MQM ko istamaal kar k Punjab ko Saraiki sazish k zariay divide karna, Punjab mein PMLN ki Government ko khatam kar k PPP ki Government banana ya Punjab mein Governor Rule he rakhna, Muhajir Dictator General Musharraf ki taraf say PCO k zariay hataay gaay Punjabi Chief Justice ko restore na honay dayna, Muhajir Bureaucracy aur Establishment ki support laykar Punjabi Bureaucracy aur Establishment ko corner karna tha, jis mein yeh Sindhi President of Pakistan aur PPP ka Chairman, Zardari naakaam raha.

No comments:

Post a Comment