1985
mein Pakistan Muslim League-Junejo (PML-J) ka Central President aur Prime
Minister of Pakistan, Sindhi Muhammad Khan Junejo, PML-J Sind ka President aur Chief
Minister of Sind, Sindhi Ghous Ali Shah, k bun jaanay, PML-J mein national
level par Sindhi, Punjabi, Pathan aur Baloch ka ghulba ho janay, jub
k, Sind k rural areas mein tu Sindhiyon ki majority aur Muhajiron ki
domination nahi thi laykun Sind k urban areas par bhe, jahaan Muhajiron ki
majority thi, PML-J ki domination ho jaanay aur Pakistan ki federal government,
Sind government aur PML-J par Muhajiron ka control na ho paanay ki
wajah say, 1987 mein MQM ko ammli toor par Karachi aur Hyderabad say
siyaasat k maidaan mein uttaara gayaa ta k MQM k platform say Sind k urban area
par Muhajiron ki siyaasi baalaadusti qaim karwa kar Sind k baray baray shehroon
par Muhajiron ka mokammal control qaim karwa kar, rural areas k Sindhiyon ko
Sind k urban areas par dominate honay say rook kar, Sind k urban
areas k Muhajir dominated honay ki bunyaad par, Muhajiron ki Federal aur Sindh
ki Provincial Government k liay siyaasi ehmiyat ko yaqeeni bana kar, Muhajir bureaucracy
aur establishment ko permanent political support provide hotay rehnay ka
intzaam kiya ja sakay.
Sindhi
Muhammad Khan Junejo k prime minister of Pakistan aur PML-J ka
central president jub k Sindhi Ghous Ali Shah k chief minister of Sindh aur PML-J
Sindh ka provincial president honay k bawajood 1987 mein honay walay
local bodies election mein PML-J k bajaay MQM ko Karachi aur
Hyderabad say elect karwa kar Karachi aur Hyderabad k Mayors, MQM k
banwaay gaay, jis ki wajaah say Karachi aur Hyderabad k local
government k departments aur local affairs mein Urdu
Speaking Hindustani Muhajir nay total dominating position hasil karna shoro
kardi jis say provincial aur federal government k
departments ko pressurize aur blackmail karnay k sath sath
strikes, jalaao, ghairaao, bhata khori, aghwa, qatal aur gharatgiri
ka silsla bhe shoro ho gayaa.
1987 mein chairman joint
chiefs of staff committee Muhajir General Akhtar Abdu Rehman tha aur vice
chief of army staff, Muhajir General Mirza Aslam Baig tha . MQM durassal ,
foreign affairs, military establishment aur civil bureaucracy mein
mojood Muhajir “Power Players” ka aik political wing hy . Jub k
MQM k local networks KMC, HMC, KDA, HDA, KWSB, KBCA, KSE, Education Department,
Health Department, Port and Shipping Authority, Steel Mill, Karachi Airport,
Banks, Insurance, Multi National Companies aur Print, Electronic Media
mein job karnay waalay Urdu Speaking Hindustani Muhajiron par moshtamal
hain .
No comments:
Post a Comment