Sindhi
Muhammad Khan Junejo k prime minister of Pakistan aur PML-J ka central
president jub k Sindhi Ghous Ali Shah k chief minister of Sindh aur PML-J Sindh
ka provincial president honay k bawajood 1987 mein honay walay local
bodies election mein PML-J k bajaay MQM ko Karachi aur Hyderabad say
elect karwa kar Karachi aur Hyderabad k Mayors, MQM k banwaay gaay, jis ki
wajaah say Karachi aur Hyderabad k local government k departments aur
local affairs mein Urdu Speaking Hindustani Muhajir nay total
dominating position hasil karna shoro kardi jis say provincial aur federal
government k departments ko pressurize aur blackmail karnay
k sath sath strikes, jalaao, ghairaao, bhata khori, aghwa,
qatal aur gharatgiri ka silsla bhe shoro ho gayaa.
1987 mein
chairman joint chiefs of staff committee Muhajir General Akhtar Abdu
Rehman tha aur vice chief of army staff, Muhajir General Mirza
Aslam Baig tha . MQM durassal , foreign affairs, military establishment aur civil
bureaucracy mein mojood Muhajir “Power Players” ka aik political wing hy . Jub k
MQM k local networks KMC, HMC, KDA, HDA, KWSB, KBCA, KSE, Education Department,
Health Department, Port and Shipping Authority, Steel Mill, Karachi Airport,
Banks, Insurance, Multi National Companies aur Print, Electronic Media
mein job karnay waalay Urdu Speaking Hindustani Muhajiron par moshtamal
hain .
1985
k Non-Party base par Pakistan ki national aur provincial
assemblies k elections ka boycott karnay ki wajah say PPP chon k
parliamentary politics say out ho gaee thi aur waisay bhe
PPP apnay qiyaam say laykar Sindh k rural areas ki he political party
rahi . Sind k urban areas mein PPP nay organize honay mein kabhi dilchuspi na lee
aur urban areas par Muhajiron ki political parties Jamaat-e-Islami (JI) aur
Jamiat Ulema-e-Pakistan (JUP) ki domination rahi, jin ko na tu rural
Sind mein public support hasil thi aur na dosray provinces
mein bari public support hasil thi, es liay PPP
ko Sindh mein apni parliamentary majority qaim rakhnay k liay Sindh
k urban areas mein PPP ko organize karnay ki khaas zarorut bhe na thi.
Laykun,
jub 1985 mein Non-Party base par Pakistan ki national aur provincial assemblies
k elections k baad, Martial Law khatam kar k, ous waqt k President of Pakistan,
General Zia-ul-Haque k plan k matabaq, Pakistan Muslim League-Junejo (PML-J) ka
qiyaam ammal mein laaya gayaa tu Sindhi Muhammad Khan Junejo k prime
minister of Pakistan aur PML-J ka central president honay, Sindhi Ghous Ali
Shah k chief minister of Sindh aur PML-J Sindh ka president honay, Karchi aur
Hyderabad say elect honay waalay Muhajir MNA’S, MPA’s aur Senators k PML-J mein
shaamal honay jub k PML-J ko Pir Pagaro ki support honay ki wajaah say PML-J
Sind k rural areas aur urban areas ki sub
say bari political party bun kar saamnay aanay k
sath sath, Sind k rural areas aur urban areas ki sub say bari
parliamentary majority aur ruling party
bun gaee tu PPP ko, jo k pehlay he Sind
k sirf rural areas tak mahdood political party thi, PML-J k
Sind k rural aur urban areas ki sub say bari, parliamentary
majority aur ruling party bun jaanay ki wajaah say
Sind mein apni future politics k liay
khatra mehsoos honay luga.
Es
liay, 1987 mein jub MQM ko ammli toor par Karachi aur Hyderabad say siyaasat k
maidaan mein uttaara gayaa tu PPP nay propaganda karna shoro kar diya k MQM ko
General Zia nay Sind k urban area par Muhajiron ki siyaasi baalaadusti qaim
karwa kar aur Sind k baray baray shehroon par Muhajiron ka mokammal control
qaim karwanay k liay bunaaya hy. Ta k PPP aik taraf tu General Zia-ul-Haque k
plan k matabaq bunaai jaanay waali political party, Pakistan Muslim
League-Junejo (PML-J) k khalaaf Sind k rural areas mein Sindhiyon ki nafrat
qaim kar sakay aur dosri taraf Sind k urban areas mein PML-J ko MQM k zariay
replace karwa kar PML-J k Sind k rural areas aur urban areas ki sub say bari
political party bun jaanay ki haisiyat ko khatam kiya jaay ta k PPP phir say
Sind k rural areas ki sub say bari political party bun sakay.
1988 mein General
Zia ki haadsaati mout aur Chief of Army Staff, Muhajir
General Mirza Aslam Baig k bun jaanay k baad es propaganda ko PPP
k sath sath Urdu speaking Hindustani Muhajir bureaucracy, establishment, media,
politicians, skilled professionals, social workers, intellectuals, journalists,
writers, aur educationalists nay bhe khoob uchaala ta
k es taraf kisi ka dhiyaan he na aa'ay k
MQM darassal , foreign affairs, military establishment aur civil bureaucracy mein mojood Muhajir “Power Players” ka aik political
wing hy . Jub k MQM ka local network KMC, HMC, KDA, HDA, KWSB,
KBCA, KSE, Education Department, Health Department, Port and Shipping
Authority, Steel Mill, Karachi Airport, Banks, Insurance, Multi National
Companies aur Print, Electronic Media mein jobs karnay waalay Urdu
Speaking Hindustani Muhajiron par moshtamal hy .
No comments:
Post a Comment