Thursday, 30 June 2016

Pakistan Mein Saara Khyl Administrative, Economic, Social Domination Ka Hy.

Administrative domination k sectors Foreign Affair Services, Military Establishment, Civil Bureaucracy hain, jin par Punjabi domination kar chuka hy.

Economic domination k sectors Agriculture, Industry, Trade Businesses hainjin par Punjabi domination kar chuka hy.

Social domination k sectors Skilled Professions, Media Organizations, Political Institutions hain, jin par Punjabi domination kar rahay hain.

Baloch ki na pehlay Administrative, Economic Social sectors mein say kisi sector mein domination thi aur na ab hy.

Sindhi k pass Administrative sector mein say, na pehlay kisi sector mein domination thi aur na ab hyEconomic domination k sectors mein say sirf Agriculture sector mein presence hy. Social sector mein say Zulfiqar Ali Bhutto say laykar Benazir Bhutto k daur tak PPP k political institution honay ki wajah say Sindhiyon ki political sector mein domination rahi jo es waqt nahi hy.

Pathano ki na pehlay Economic domination k sectors mein say kisi sector mein domination thi aur na ab hy. Na Social sectors mein domination rahi na ab hy. Administrative sectors mein albata Punjabi aur Urdu Speaking Hindustani k baad presence pehlay bhe thi aur ab bhe hy.

Urdu Speaking Hindustani ki na pehlay Economic domination k sectors mein say kisi sector mein domination thi aur na ab hy. Administrative aur Social sectors mein pehlay bhe Urdu Speaking Hindustani dominating position mein tha aur ab bhe hy.

Maazi mein Urdu Speaking Hindustani ka Punjabi k sath joint venture raha jub k es waqt Urdu Speaking Hindustani ka Punjabi k sath confrontation hy jis ki wajah say Urdu Speaking Hindustaniyon ko Punjabi nay Foreign Affair Services, Military Establishment, Civil Bureaucracy say farigh karna shoro kar diya hy balkay es waqt kafi hud tak kamzoor kar diya hy

Urdu Speaking Hindustani ki Economic domination k sectors mein say na kisi sector mein domination thi aur na ab hy jub k Administrative sectors mein bhe kamzoor ho raha hyAb Urdu Speaking Hindustani, Skilled Professions, Media Organizations, Political Institutions ki wajah say sirf Social sectors ko dominate kar rahay hain jo Punjabi k sath confrontation ki wajaah say ziyaada arsa qaim nahi rehni.

No comments:

Post a Comment