Friday, 24 March 2017

1947 - 1971 Pakistan Ki Policy-Making Aur Decision-Taking Kon Kar Rahay Thay?

1971 mein jub East Pakistan Bangladesh bunna ous waqt Political leadership Sindhi Bhutto k pass thi, Military leadership Pathan Yahya Khan k pass thi, Al-Shums aur Al-Badar mein Bihari thay. Punjabi aggar politics mein thay tu worker, Army mein thay tu Foot-Soldiers.

Bengaliyon ki Zabaan Bengali k bajaay Urdu, Pakistan k Governal General Muhammad Ali Jinnah, Gujrati aur Pakistan k Prime Minister Liaquat Ali Khan, UP k Urdu Skeaking Hindustani Muhajir nay kar k Bengaliyon k sath "Social injustice" kiya.

1971 mein Bengaliyon k national assembly k election mein majority hasil kar laynay k baawajood second position par aanay waalay PPP k leader Zulfiqar Ali Bhutto Sindhi nay Bengaliyon ki party Awaami League k leader Mujeeb-ur-Rehman k Pakistan ki federal government bananay k huq ko tasleem na kar k Bengaliyon k sath "Political injustice" kiya.

1971 mein Pakistan k President, Chief Martial Law Administrator aur Army Chief Yahya Khan Pathan nay Bengaliyon k khalaaf Army operation ka order day kar Bengaliyon k sath "Administrative injustice" kiya.

1947 mein Muslmano k liay aik mulk Pakistan bananay k liay Punjab aur Punjabi Qoom ko divide karwa diya gayaa, jis mein 20 laakh Punjabi maaray gaay aur 2 crore Punjabi displace hoay.

Pakistan k qiyaam say laykar 1971 mein East Pakistan k Bangladesh bunnay tak Pakistan ki Governance, Military Leadership, Political Leadership UP, CP k Urdu Speaking Hindustaniyon, Bihariyon, Pathano aur Sindhiyon k pass rahi.

Sirf 13 maheeno k liay 12 Augest 1955 - 12 Augest 1956 tuk Muhammad Ali Punjabi, jis nay Pakistan ka 1956 ka pehla constitution bana kar diya aur 10 maheenay 22 din k liay 16 December 1957 - 7 October 1958 tuk Feroz Khan Noon Punjabi, jis nay 8 September 1958 ko Oman say Gwadar khareed kar Pakistan mein shamal kiya. In k elaawa koi Punjabi Pakistan ki policy-making aur decision-taking mein shaamal nahi raha.

Pakistan k qiyaam say laykar East Pakistan k Bangladesh bunnay, bulkay 1977 mein General Zia-ul-Haq k Martial Law lugaanay say pehlay tak jub Pakistan ki policy-making aur decision-taking mein Punjabi thay he nahi tu phir Punjab aur Punjabiyon par Bengaliyon k sath Social injustice ' Political injustice ' Administrative injustice ka ilzaam kyon lugaaya jaata hy?

Pakistan k qiyaam say laykar East Pakistan k Bangladesh bunnay, bulkay 1977 mein General Zia-ul-Haq k Martial Law lugaanay say pehlay tak jub Pakistan ki policy-making aur decision-taking mein Punjabi thay he nahi tu phir Punjab aur Punjabiyon ko gaaliyaan kiyon di jaati hain?

No comments:

Post a Comment