Thursday, 30 March 2017

Pakistan Ka Naam Punjabistan Kar Diya Jaay.

Pakistan k 1973 k constitution k matabaq tu Pakistan ki 97% population Muslim honay ki wajaah say Pakistan aik Islamic state hy jis ki wajaah say Pakistan k 3% Christian, Hindu, Sikh aur dosray religions k log es Islamic state Pakistan ki minorities hain.

Laykun, Pakistan k Sindhiyon, Balochon, Pathano aur Urdu Speaking Hindustani Muhajiron ka asraar hy k Pakistan ko Qoomon ka mulk tasleem kiya jaay ta k Punjabi Qoom, Muslim honay ki wajaah say Pakistan ki choti Qoomon par zulm ziyaadti na karay. Punjabi Qoom, Pakistan ki choti Qoomon k haqooq un ko day.

Pakistan ki choti Qoomon, Sindhiyon, Balochon, Pathano aur Urdu Speaking Hindustani Muhajiron k mataalbay ko tasleem kar k Pakistan k 1973 k constitution mein amendment kar k Pakistan ko Islamic state k bajaay Qoomon ka state declair kar diya jaay.

Pakistan mein chon k Sindhiyon ki populatin 12% hy, Balochon ki populatin 4% hy, Pathano ki populatin 8% hy aur Urdu Speaking Hindustani Muhajiron ki populatin 8% hy jub k Punjabiyon ki populatin 60% hy. Es liay Pakistan ko Muslim state k bajaay Qoomon ka state declair karnay ki wajaah say Pakistan nay Islamic state k bajaay Punjabi state bun jaana hy.

Pakistan k Punjabi state bun jaanay ki wajaah say Sindhiyon, Balochon, Pathano aur Urdu Speaking Hindustani Muhajiron nay chon k Punjabi state Pakistan ki minorities hoona hy es liay 1973 k constitution mein amendment kar k Pakistan ko Islamic state k bajaay Qoomon ka state declair kartay waqt Pakistan ka naam bhe Pakistan k bajaay Punjabistan kar diya jaay ta k Punjabi state Punjabistan ki Sindhi, Baloch, Pathan aur Urdu Speaking Hindustani Muhajir minorities k sath zulm ziyaadti na ho aur Punjabistan ki Punjabi aksaryati Qoom Sindhi, Baloch, Pathan aur Urdu Speaking Hindustani Muhajir minorities k haqooq un ko apnay haath say day.

No comments:

Post a Comment