Friday, 24 March 2017

Bengaliyon Ko Pakistan Say Alug Karnay Walay Punjabiyon K Naam Kya Hain?

East Pakistan ko Bangladesh bananay mein UP k Muhajir Liquat Ali Khan ka role tu wazih hy k ous nay East Pakistan ki language Bengali k bujaay Urdu kar k “Social Hate” ki pehli eent rakhi.

Bihari Muhajir General Iskandar Mirza ka kirdaar wazih hy jis nay Defense Secretary hotay hoay Pakistan Army ka Chief of Army Staff Bengali General, Ishfakul Majid  k senior honay k baawajood junior Pathan General, Ayoub Khan ko bunna kar k “Administrative Hate” ki pehli eent rakhi.

Pathan General Ayoub Khan ka kirdaar wazih hy jis nay Pakistan mein pehla Martial Law laga kar Bengaliyon ko Pakistan ki political governance say bahir nikaal kar k “Political Hate” ki pehli eent rakhi.

Pathan General Ayoub Khan ka kirdaar wazih hy jis nay East Pakistan ka social, administrative aur economic conflict political ground par solve karnay k bajaay Military action k zariay Bengali Qoom ko alug honay k rastay par daala.

Sindhi Zulfiqar Ali Bhutto ka kirdaar wazih hy jis nay Bengalion ki Political Party Awaami Muslim League ko election mein majority mil jaanay k bawajood Government bunanay nahi di aur opposition leader k bujaay East Pakistan ko Pakistan say alug karwa kar khud West Pakistan ka naam Pakistan rukh kar ous ka Civil Martial Law Administrator aur President of Pakistan bun baitha jub k Bengali Qoom ko alug honay par mujboor kar diya.

Bengaliyon k sath social, administrative, political, economic, victimization karnay waalay Punjabiyon k naam kya thay?

No comments:

Post a Comment