Monday, 5 September 2016

Jutt League, Butt League aur Arain League.

Politics mein administrative, developmental, economic programs aur policies k sath sath social contacts, contributions, cooperation aur representation ki bhe boht importance hooti hy.

Pakistan k rehnay waalay State k prospect say 100% Pakistani citizens hain aur Religion k prospect say 97% Pakistani Muslman hain laykun State aur Religion k prospect k elaawa Nations aur Communities k prospect say Pakistan aik heterogeneous nations state hy. Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch, Pakistan ki nations hain, jin ki apni apni land hy, language hy, culture hy, traditions hain.

Pakistan ki Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch nations, her nations ki tarha communities par moshtamal hain jinhain kahein Qabail aur kahein Baraadri kaha jaata hy.

Punjabi nation ki bohat saari communities mein say 4 bari communities Arain, Rajpoot, Jutt, Butt (Kashmiri) hain.

Military Dictator Musharraf ki dictatorship k daur mein PMLN say political activists ko alug kar k PMLQ k naam say aik political party bunnaee gaee. Go k PMLQ ka president aik Arain Mian Azher ko bunnaya gayaa laykun Arains k PMLN mein respectable position par rehnay k elaawa PPP mein bhe respectable position par rehnay ki wajaah say Arain es qadar PMLQ ki taraf attract nahi hoay jitnay Jatt hoay. Jatt na sirf PMLN ko chor kar PMLQ mein shamal ho ga'ay balkay PPP say bhe bari tadaad mein Jatt PMLQ mein aa ga'ay, jis ki wajaah say PMLQ ka President Arain Mian Azher k bajaay Jatt Chaudhary Shujaat ko bunna diya gayaa, jis say PMLQ ammli tour par Jatt League bun gaee jub k PMLN mein say Jatt k bari moqdaar mein nikaal jaanay aur Arains k pehlay he PMLN k elaawa PPP mein bhe honay aur kuch moqdaar k PMLN say nikal kar PMLQ mein shamal ho jaanay ki wajaah say PMLN mein majority Butts (Kashmiri) ki reh gaee. Jub k PMLQ mein Jatts aur PPP mein Arains ki majority ya domination ya Jatts aur Arains say differences aur disputes ki wajaah say Rajpoots nay political strategy k tour par PMLQ aur PPP k bajaay PMLN ko priority di.

PMLQ k Jutt League aur PMLN k Butt League bun jaanay, jub k PPP k Sindh ki party bun jaanay ki wajaah say aur PPP k Punjab mein Arains k bajaay South Punjab k Arabic Background Peeron aur Baloch Background Jageerdaron ko priority daynay ki wajaah say Arains PMLQ k Jutt League, PMLN k Butt League aur PPP k Peeron aur Jageerdaron ki political parties bun jaanay ki wajaah say Siyaasi tour par muntashar ho gaay laykun Pathan Background Imran Khan k PTI ki reorganization k waqt Lahore mein jalsa kartay waqt PTI ko Butts k PMLN aur Jatts k PMLQ mein hoonay ki wajaah say Arains ki zaroorat mehsoos hoee jub k Arains ko bhe PMLN k Butt League, PMLQ k Jutt League aur PPP k Peeron aur Jageerdaron ki parties bun jaanay ki wajaah say political platform ki zarorat thi, es liay Lahore k Arains nay PTI k platform par jumma hoona shoro kar diya jis say Lahore ki hud tak PTI Arain League bun gaee laykun Lahore say bahir ka Arain, PTI k sath sath PMLN aur PPP mein bhe hoonay ki wajaah say Punjab ki sitaah par mazeed muntashir ho gayaa.

Jaysa k Punjab mein es waqt, PMLN assal mein Butt League bunnee hoee hy. PMLQ assal mein Jutt League bunnee hoee hy. PPP assal mein Arabic aur Baloch League bunnee hoee hy. PTI assal mein Pathan League bunnee hoee hy. Rajpoot Jutt League aur Arabic, Baloch League say ziyaada Butt League mein hain laykun Arain es waqt Jutt League mein tu hain nahi, Butt league mein hain tu sahi laykun Butt aur Rajpoot k baad third position par hain, PPP mein bhe position k lihaaz say Arabic aur Baloch Background k baad ki position par hain aur PTI mein bhe position k lihaaz say Pathan Background k baad ki position par hain

Punjab mein PMLN, PMLQ, PTI k baad ab PPP nay aik baar phir say reorganization karni hy.

Butts aur Rajpoots ki Majority chon k PMLN mein hy es liay future mein bhe Butts aur Rajpoots ki Majority nay PMLN mein he rehna hy.

Jutts ki Majority chon k PMLQ mein hy es liay future mein bhe Jutts ki Majority nay PMLQ mein he rehna hy ya phir PTI mein chulay jaana hy, laykun her constituency mein Jutts ko chon k Butts aur Rajpoots k sath sath Arains say bhe confront karna parta hy es liay PMLQ ya PTI k platform say kisi candidate k elect hoonay k imkaanat kum he rehnay hain.

Arabic aur Baloch ki Majority chon k PPP mein hy, es liay, future mein bhe Arabic aur Baloch ki Majority nay PPP mein he rehna hy laykun her constituency mein Arabic aur Baloch ki party ko chon k Butts aur Rajpoots k sath sath Arains say bhe confront karna parta hy es liay PPP k platform say kisi candidate k elect hoonay k imkaanat kum he rehnay hain.

Jutt League yaani PMLQ aur Arabic, Baloch League yaani PPP albata aapas mein alliance kar k Arabic, Baloch aur Jatts ko, Butt League yaani PMLN k moqaablay Mein laa saktay hain laykun es soorat mein bhe faislakun kirdaar Arains ka hoona hy, jo Jutt League yaani PMLQ ko tu support nahi karain gay laykun Arabic, Baloch League ko kar saktay hain aur wo bhe ous soorat mein k Z.A Bhutto aur Benazir Bhutto k daur ki tarha Arains ko PPP mein position di jaay, na k Arabic, Baloch Background k baad ki position par rakha jaay, ya PMLQ k zawaal ki wajaah say PMLQ chor kar PPP mein aanay waalay Jatts ki wajaah say Arains ko Jatts k baad ki position par rakha jaay.

PMLN nay jo k filwaqt Butt aur Rajpoot league bun chuki hy. Jatts k PMLN say ghadaari kar k PMLQ bunna kar PMLN k sath mahaaz araaee kartay rehnay ki wajaah say, Jatts ka PMLN mein koe future nahi hy. Arabic, Baloch Background ko PMLN nay Butt aur Rajpoot k baad ki position par he rakhna hy laykun PMLN nay aggar PMLN k Butt League hoonay k label ko change kar k Butt, Rajpoot aur Arain ko equal status par rakhana shoro kar diya tu PMLQ aur PPP k alliance ki soorat aur PTI k es alliance mein shamal hoonay k bawajood bhe yeh alliance, Arabic, Baloch, Pathan Bacckground aur Jatt alliance he rehna hy, jo Punjab ki 4 baari communities Arain, Rajpoot, Butt aur Jutt mein say 3 bari communities Arain, Rajpoot, Butt k sath compete nahi kar sakay ga.

Laykun, PMLN nay aggar PMLN k Butt League hoonay k label ko change na kiya aur PMLN Butts aur Rajpoots ki he majority party rahi, jub k Arains ki majority PPP mein chali gaee ya PTI mein chali gaee aur PPP ka PMLQ aur PTI k sath alliance ho gayaa ya Jatts bhe PPP ya PTI mein shamal ho ga'ay tu Punjab ki 2 sub say bari communities Arain aur Jatt k Butt aur Rajpoot communities k sath moqaablay ki soorat mein PPP ya PTI nay dominating position par aa jaana hy.

Filwaqt Punjab mein Arain aur Jatt ka aik siyaasi ghaat par ookathay hoona mushkal nazar aata hy laykun PMLN k Butt League bun jaanay, Jatts k sath conflict honay laykun Butts k elaawa sirf Rajpoots ko front benches daynay aur Arains ko back benchers rakhnay k PMLN ki policy change na hoe tu Arain, Jutt conflict cooperation aur Arain, Butt cooperation, confrontation mein convert ho sakta hy aggar PPP nay Arains aur Jatts ko PPP k platform par, ya PTI nay Arains aur Jatts ko PTI k platform par, waisay he unite kar diya jaisay Butt aur Rajpoot ko PMLN nay unite kiya howa hy.

Laykun PTI aggar Arains aur Jatts ko PTI k platform par na laa saki aur PPP nay Punjab mein PPP ko Arabic, Baloch League he rakha, Punjab k Arabic, Baloch background Punjabiyon ko Saraiki qaraar daynay, Punjab ko Regions mein aur Punjabi Qoom ko dialects mein divide karnay ki strategy barqraar rakhi tu PPP ko na tu Punjab say Arain nay support karna hy aur na Jatt nay. PMLN k sirf Butts aur Rajpoots ki dominating political party honay k bawajood bhe PMLN nay he Punjab ki dominating political party rehna hy.

Laykun, aggar PPP ki Arabic aur Baloch background Punjabiyon ko Saraiki qaraar daynay, Punjab ko Regions mein aur Punjabi Qoom ko dialects mein divide karnay ki strategy ko counter karnay k liay PMLN nay Butt aur Rajpoot political players k sath sath Arain aur Jatt political players ko bhe PMLN k platform par collect kar k PMLN mein Punjab ki 4 sub say bari communities, Arain, Jutt, Butt, Rajpoot k political players ko accumulate aur adjust kar liya tu na sirf PMLN k Butt League hoonay ka taasar khatam ho jaana hy, balkay, PMLN nay Punjab ki dominating political party hoonay k sath sath, Punjabi Qoom ki sub say mazboot political power bun jaana hy, jis ka PMLQ aur PTI jaisi Punjab ki political parties nay tu moqaabla kar he nahi paana. Jub k, Punjab say bahir ki PPP jaisi political party nay bhe, na sirf individual capacity mein, balkay Punjab aur Punjab say bahir ki doosri political parties k sath alliance bunna kar bhe PMLN ka moqaabla nahi kar paana.

No comments:

Post a Comment