Thursday 15 September 2011

Sindh Ka Problem 10% U.P, C.P Walay Hain.

Sindh ki aabadi ka 60% Sindhi hain aur 40% Non-Sindhi.

40% Non-Sindhion mein say 5% Pathan, 10% Punjabi, 25% Muhajir hain.

25% Muhajirion mein say 5% Gujraati, 10% Rajasthani aur 10% U.P, C.P walay hain.

Sindh ki zameen hazaroon saal say Sindhion ki malkiyat hay aur jo bhe baher say aakur Sindh mein aabad howa who Sindh ki Zabaan aur Saqafat mein ghul mill kur Sindhi bun gaya.

60% Sindhion k sath sath 5% Rural Sindh k under 1901 mein Nara Canal aur 1932 mein Sukkur Barrage ki tamer k waqt aa kur aabad honay walay Punjabi bhe ab na sirf Sindh ki zameen ko apna watan bunna chukay hain bulkay Sindh ki Zabaan aur Saqafat ikhtiar kur k Sindhi he bun chukay hain. Es tarha say Sindh Dost Sindhion ki taadad 65% ho jati hay.

Karachi mein rehnay wally 5% Punjabi aur 5% Pathan total 10% Punjabi aur Pathan jo k Sindh ki zameen per aabad tu ho chukay hain laykun Karachi per U.P, C.P ki zabaan aur Indus civilization ki jagah Gunga Jumna culture ka assar honay ki wajah say Sindhi zabaan aur culture tu adopt nahein kur sukkay laykun zehni toor per khud ko U.P, C.P walon k bajaay Sindhion say zayaada nazdek mehsoos kurtay hain.

Rural Sindh mein rehnay walay Punjabi aur Pathan bhe Karachi k Punjabi aur Pathan ko Sindhion k qareeb lanay mein mazeed izafay ka baes buntay hain es liay Karachi k 10% Punjabion aur Pathanon ko bhe agar Sindh Dost Sindhion mein shammal kur liya jay tu Sindh Dost Sindhion ki taadad 75% ho jati hay.

75% Sindh Dost Sindhion k maqablay mein ab Muhajiron ki taadad 25% bunti hay laykun 5% Gujrati Sindh k parossi illakay say taalaq rukhtay hain aur Sindh k Bombay mein shamal kiay janay wallay door mein aik dosray k sath rabtay mein rahay hain aur unn ki zabaan aur culture bhe Sindhi say milta julta hay laykun in tamam baton k bawajood mazi mein jiss tarha Punjabi aur Pathan U.P, C.P k saher mein mubtla rahay hain waisay he yeh Gujrati bhe U.P, C.P k chungal mein phunssay hoay hain, jiss mein in ka Karachi aur Hyderabad mein aabad hona aur Karobari peshay say munsalak hona izafa kurta hay, laykun yeh bhe ab apnay aap ko Punjabi aur Pathan ki tarha U.P, C.P say mutnafar mehsoos kurtay hain aur U.P, C.P k saher say niklna chatay hain aur Sindhi bhe in ko Muhajir nahein sumujhtay. Agar 5% Gujrati bhe U.P, C.P k saher say nikl jatay hain tu Sindh Dost Sindhion ki taadad 80% ho jati hay.

80% Sindh Dost Sindhion k maqablay mein ab Muhajiron ki taadad 20% bunti hay laykun 10% Rajustani bhe Sindh k parossi illakay Rajistan say taalaq rukhtay hain aur in ki zabaan bhe Urdu nahein hay aur na in ka culture Gunga jumna walla hay. Jub k in ki barri taadad Rural Sindh mein rehti hay jin ka karobar bhe agricultural related hay aur kafi hud tak Sindhi zaban aur culture bhe adopt kur chkay hain ess liay khud ko Sindhion say kafi nazdique mehsoos kurtay hain.

Hyderabad k Muhajiroon mein say 80% taadad Rajistanion aur Gujration ki hay jub k U.P, C.P wallay tu mushkal say 20% hain. Es tarha Hyderabad Sindhi aur Muhajir nahein bulkay Sindhi aur Rajustani City hay laykun Hyderabad mein City level ki Leadership kabhi bhe Rajastani Muhajir k pass nahein rahi aur U.P, C.P walon nay hamaysha Rajastanion ko Anti-Sindhi bunna kur aur Muhajir shammar kurwa kur in ki qiyadat ki laykun ab Gujrateeon ki tarha yeh Rajustani bhe U.P, C.P walon ki Sindh dushmani aur Dhons, Dhandli aur Hutdhurmi say tung aatay ja rahay hain.

Rajastanion ki barri taadad chon k undroonay Sindh bhe rehti hay es liay agar kahein Muhajir v/s Sindhi fasad hogaya tu U.P, C.P walon ki sehaat per tu koe faraq paray ga nahein kion k undroonay Sindh tu U.P, C.P wallay hain he nahei jub k Hyderabd City mein bhe 20% hain, es liay Hyderabad aur khas tour per undroonay Sindh sub say ziada nuqsaan Rajastanion ka he hoga. Es liay agar yeh 10% Rajistani bhe U.P, C.P k saher say nikl jatay hain tu Sindh Dost Sindhion ki taadad 90% ho jati hay.

Ab sawal yeh paida hota hay k yeh 10% U.P, C.P wallay jaisay 10% Punjabion aur 5% Pathanon ko ziada arsa Non-Sidhi ki bunyaad per baywaqoof nahein bunna paay, waisay he 5% Gujration aur 10% Rajistanion ko Muhajir ki bunyaad per kub tuk baywaqoof bunnaen gay?

Sindh Dost Sindhion, Balochon, Punjabion aur Pathanoon ko bhe assal shikayaat 10% U.P, C.P wallon say hay.

5% Gujrateeon aur 10% Rajistanion k sath tu Sindh Dost Sindhion ka na koe Lissani tukrao hay aur na koe Political. Kion k Punjabion, Pathanoon aur Gujration ki tarha Rajistanion ki na tu zaban Urdu hay aur na in ka culture Gunga Jumna walla. U.P, C.P wallay in ko in ki taadad k matabaq Political share bhe nahein daytay.

10% U.P, C.P wally aakhir 90% Sindh Dost Sindhion ka Sakkoon burbaad aur Sindh k halat kharab kion rukhna chahtay hain?

No comments:

Post a Comment