Friday 17 August 2018

Kya Sindhi Jinnah, Punjab Aur Punjabi Qoum Ka Dushmun Tha?


Sindhi Jinnah ko 1945 tuk Punjabi Muslman Kafir-e-Azim kehtay thy. Chon k, 1937 k Punjab k election mein Sindhi Jinnah ki party Muslim League ko, jis k Punjab mein president Allama Iqbal k honay k bawajood, Punjab bhur mein sirf 2 seats milli thein aur Sir Sikandar Hayat, Sir Chhotu Ram, Sardar Baldev Singh ki leadership mein Unionist party ko Punjabiyon nay apna mandate diya tha, es liay 1946 k election mein Sindhi Jinnah nay Punjab mein rehnay waalay Arabic background Peeron, Baloch background Sardaron, Pathan background Jageerdaron aur mafaad parast Punjabiyon ko apnay sath milla kar, Punjab mein Mazhbi nafrat phylanay k liay, UP k area say Devobundi aur Brailvi molvi Punjab laa kr, Aligarh k sazshi aur sharaarti Urdu Speaking Hindustaniyon ko Punjab k election mein bulwa kr, Punjab ko Secular Punjab say Mazhbi nafrton waala Punjab bunna kr, Punjab aur Punjabiyon ki 1920 say representation krnay waali Muslman Punjabiyon, Hindu Punjabiyon, Sihk Punjabiyon, Christian Punjabiyon ki secular political party, Unionist ko khutum karwa diya. 

Kya Sindhi Jinnah, 20 lakh Punjabiyon ka qatal, 2 crore Punjabiyon ko displace krwaanay waala, Punjabi Qoum ko “Direct Action Day” k zariay aapus mein lurwaanay waala, Pakistan k qiyaam k waqt, Punjab ko divide krwa kr kuch Punjab ka hissa India aur kuch Pakistan mein shamal krwa kr khud Pakistan ka Governor General bunnay aur Uttar Pradesh k Urdu Bolnay walay Hindustani Liaquat Ali Khan ko Pakistan ka Prime Minister bunaanay waala shakhs tha?

Note;- Baraay meharbaani jazbaati honay k bujaay sawal ka jawab dalaail k sath dain. Nawazish Hogi)

No comments:

Post a Comment