Saturday 14 May 2016

Hindustani Muhajir Na-Pasand-Deeda Afraad Kyon Buntay Ja Rahay Hain?

Political leaders apnay followers ko sirf politically represents he nahi kartay balkay guide bhe kartay hain, rectify bhe kartay hain aur dosray political leaders k followers k sath apnay followers ka interaction aur cooperation bhe karwatay hain.

Karachi ki politics Urdu Speaking Hindustaniyon k issues k ird gird ghoomti rehti hy. Karachi ki political leadership Urdu Speaking Hindustaniyon k pass hy.

Karachi mein rehnay waalay Punjabiyon, Pathano, Rajasthaniyon, Gujratiyon, Balochon, Sindhiyon k na tu political issues ko importance di jaati hy aur na in ki political leadership groom honay di jaati hy.

Karachi mein rehnay waalay Punjabiyon, Pathano, Balochon, Sindhiyon ko Karachi mein political representation na daynay ki wajaah say, Karachi mein Urdu Speaking Hindustaniyon k sath Punjabiyon, Pathano, Balochon, Sindhiyon ka interaction aur cooperation kon karwaata hy?

Political mind persons nay politics tu karni he hoti hy laykun Karachi mein rehnay waalay Punjabiyon, Pathano, Balochon, Sindhiyon ko Karachi mein political representation na daynay ki wajaah say Punjabi, Punjab mein rehnay waalon k sath, Sindhi, Rural Sind mein rehnay waalon k sath, Pathan, KPK mein rehnay waalon k sath, Baloch, Baluchistan mein rehnay waalon k sath interaction aur cooperation mein reh kar apni politics kartay hain aur apnay political problems share kartay hain jis say Punjab, Rural Sind, KPK, Baluchistan mein Urdu Speaking Hindustaniyon k liay Siyasi Na Pasandeedgi barh rahi hy.

Kya Urdu Speaking Hindustani, Karachi mein Punjabiyon, Pathano, Balochon, Sindhiyon say isolate honay k baad ab Punjab, Rural Sind, KPK, Baluchistan mein bhe Na Pasand Deeda Afraad buntay ja rahay hain?

No comments:

Post a Comment