Saturday 14 May 2016

Imran Khan ka Nawaz Sharif kysay Moqaabla karay?

Punjab par Ahmad Shah Abdali ki hukmaraani rehnay ki wajaah say, Punjab par qabza kar k Sarmayaadar bun jaanay waalay aur hukmaraani ka shooq rakhnay waalay Pathan khandaan bhe boht hain, jo Punjabi boltay hain aur aik baar phir say Punjab aur Punjabi Qoom par waisay he qabza karna chahtay hain, jaisay Ahmed Shah Abdali nay kiya tha.

KPK Aur FATA par Maharaja Ranjeet Singh ki hukmaraani rehnay ki wajaah say, KPK aur FATA par qabza kar k Sarmayaadar bun jaanay waalay aur hukmaraani ka shooq rakhnay waalay Punjabi khandaan bhe boht hain, jo Pushto boltay hain aur aik baar phir say KPK, FATA aur Pathan Qoom par waisay he qabza karna chahtay hain, jaisay Maharaja Ranjeet Singh nay kiya tha.

Politics assal mein power haasil karnay ka naam hy. Pakistan ki parliament mein Punjab ki 150, KPK aur FATA ki 47 seats, total 197 seats Punjabi aur Pathan areas ki hain. Federal government bunaanay k liay national assembly ki 272 mein say 137 seats chaheain.

Pakistan ka atmosphere ethnic ho chuka hy. Es liay election mein political parties ko vote dainay ka rawaaj bhe ethnic ground par ho chuka hy. Sindhi k pass sirf 41 seats, Muhajir k pass sirf 20 seats aur Baloch k pass sirf 14 seats honay ki wajaah say aur Sindhi, Muhajir, Baloch ka Punjabi areas ki 150 seats aur Pathan areas ki 47 seats par assar na honay ki wajaah say, future mein Sindhi, Muhajir ya Baloch leader ko power haasil karnay k liay Pakistan ki federal government nahi millay gey.

Punjabi areas ki 150 seats aur Pathan areas ki 47 seats honay ki wajaah say Punjabiyon ki party ya Pathano ki party mein say jo bhe 137 seats layga, federal government bunna lay ga.

Es waqt Punjabiyon ki party PMLN hy aur Pathano ki party PTI hy. PMLN aur PTI ka interest Punjabi areas ki 150, Pathan areas ki 47 seats, total 197 seats mein hy.

Punjabiyon ki party PMLN aur Pathano ki party PTI ko Sindhi ki 41 seats, Muhajir ki 20 seats aur Baloch ki 14 seats say es liay interest nahi hy k, Sindhi ki 41 seats, Muhajir ki 20 seats aur Baloch ki 14 seats k leaders k pass national assembly mein Punjabiyon ki party ya Pathano ki party k sath cooperation karnay k elaawa dosra option nahi hy. Kyon k politics mein neutral nahi raha ja sakta.

Pathano ki party PTI ka leader es waqt Imran Khan hy jo Ahmad Shah Abdali jaisa kirdaar bharpoor undaaz mein adda kar raha hy. Jis k liay Imran Khan Pathano ko tu Pathan honay ka ehsaas dilwa raha hy jub k Punjab ko Muslim Area aur Punjabi Qoom ko Muslman Qoom honay k raastay par daal raha hy.

Punjabiyon ki party PMLN ka leader es waqt Nawaz Sharif hy jo Maharaja Ranjeet Singh jaisa kirdaar bharpoor undaaz mein adda nahi kar raha. Kyon k Nawaz Sharif Punjabiyon ko Punjabi honay ka ehsaas nahi dilwa raha jub k Punjab ko Secular Area aur Punjabi Qoom ko Secular Qoom honay k raastay par bhe nahi daal raha.

Imran Khan ko tu Ahmad Shah Abdali jaisa kirdaar adda kar k Pathano ko Pathan Qoom honay ka ehsaas dilwa kar aur Punjab ko Muslim Area aur Punjabi Qoom ko Muslman Qoom bunna kar Punjab par qabza karnay aur Punjabi Qoom ko Pathano ka ghullam bunaanay mein aasaani hogi. Laykun, Nawaz Sharif k liay Imran Khan k Ahmad Shah Abdali jaisay kirdaar ka moqaabla karnay k liay zaroori hy k;

1. Punjabiyon ko Punjabi Qoom honay ka ehsaas dilaa'ay.

2. Punjab ko Secular Area aur Punjabi Qoom ko Secular Qoom bunaa'ay.


3. 1947 mein divide ho jaanay waalay Punjab ko unite karay.

4. Kashmir par say India ka qabza khatam karwaay.


5. 1901 mein British ki taraf say Punjab k north western areas ko Punjab say alug kar k NWFP (North Western Frontier Province) k naam say province bunna kar (Jis ka naam ab KPK hy) Pukhtoonization kar k Punjabi k bajaay Pukhtoon area bunaay jaanay waalay area ko phir say Punjab mein shaamal kar k aur ous area say Pukhtoonization khatam kar k Punjab ko phir say Maharaja Ranjeet Singh k Punjab jaisa Punjab bunaa'ay.


6. Sind mein rehnay waalay Punjabiyon aur Sammat Sindhiyon par say Arabic Background aur Baloch Background Sindhiyon k zulm aur ziyaadtiyon ko khatam karwaanay k liay Sind k Sammat Sindhiyon aur Sind k Punjabiyon ko socially, politically, economically, administratively strong karay.

7. Karachi mein rehnay waalay Punjabiyon, Sammat Sindhiyon, Pathano, Gujratiyon aur Rajasthaniyon par say UP Background aur CP Background Muhajiron k zulm aur ziyaadtiyon ko khatam karwaanay k liay Karachi k Punjabiyon, Sammat Sindhiyon, Pathano, Gujratiyon aur Rajasthaniyon ko socially, politically, economically, administratively strong karay.


8. Baluchistan mein rehnay waalay Punjabiyon aur Brohiyon par say Kurdish Background Balochon k zulm aur ziyaadtiyon ko khatam karwaanay k liay Baluchistan k Punjabiyon aur Brohiyon ko socially, politically, economically, administratively strong karay.

No comments:

Post a Comment