Wednesday 13 July 2016

Baloch, Baluchistan Say Ziyaada Punjab Mein Hain.

Kurdistan say aa kar Brauhion ki zameen par qabza karnay k baad, Brauhion ko apna ghulam bananay k baad Baloch ki new identity introduce kar k khud bhe Baloch bun janay aur Brohion ko bhe Baloch Baloch bunnanay k baad Qalat, Kharan, Makran, Lasbela ki riyaston ko milla kar 1970 mein Baluchistan province bunaanay mein kamyab ho ho janay walay Kurdish, jo ab Baloch ki identity say identify kiay jatay hain, in Balochon ki Punjab mein population es waqt Balochistan mein mein Baloch ki population say ziyada hy.

Punjab mein rehnay walay Baloch boht baray baray Jageerdar bhe hain. Punjab say Pakistan k President bhe bunnay. Punjab k Governor bhe bunnay. Punjab k Chief Minister bhe bunnay. Supreme Court aur Punjab High Court k Judge bhe bunnay. Federal aur Provincial Minister bhe bunnay aur bun rahay hain. Punjab k quota par Pakistan ki federal services aur Punjab ki provincial services mein bhe shamal hotay hain. Punjab mein karobar bhe hain aur Punjab mein properties bhe bunaatay hain.

Balochistan say national assembly ki 14 seats hain jin mein say kuch Pathano k pass rehti hain. Kuch Brohiyon k pass. Balochistan say tu Balochon ko milti he 4-5 seats hain jub k Punjab say national assembly k liay 11-12 Baloch elect hotay rehtay hain jub k 25-26 Baloch Punjab assembly k liay elect hotay rehtay hain.

Yeh Kurdish jo ab Baloch banay hoay hain, es waqt Punjab mein bhe wo he strategy adopt kar rahay hain jo yeh Qalat, Makran, Kharan, Lasbela mein adopt kar k wahan k assal bashindon ko Baloch ki new identity day kar, saari riyaston ko mila kar Baluchistan ka province bunna chukay hain aur ab South Punjab mein Saraiki ki new identity introduce kar k khud Baloch k bajaay Saraiki bunnay baithay hain aur Multani Punjabion, Riyasti Punjabion aur Dera Wali Punjabion ko bhe Saraiki ki new identity day kar waisay he Saraiki bunnanay mein luggay hoay hain jaisay Baluchistan mein yeh Kurdistani, Brauhion ko Baloch identity day kar Brohi say Baloch bunna chukay hain.

Baluchistan mein Punjabion k sath jo zulm aur ziyadtiaan ho rahi hain, Baluchistan say Punjabion ki lashain Punjab aa rahi hain, Balochistan mein Punjabion ko rozgar aur karobar nahi karnay diya ja raha es liay future mein Punjabion ki Balochon k sath mahaz araai mein izafa hona hy. Mahaz Araai Punjabion aur Kurdistanion mein honi hy jo Balochistan mein Baloch aur South Punjab mein Saraiki bunay hoay hain, na k Brauhion k sath, jinhain in Kurdistanion nay zabardusti Brauhi say Baloch bunna diya hy.

Jub Baluchistan say ziyada Baloch es waqt Punjab mein hain tu kya jitnay Baloch Punjab mein hain utni he tadaad mein Punjabion ko Baluchistan mein abaad honay ki ijazut nahhi honi chaheay?

Jis tarha k social, economic, administrative, political rights Punjab mein rehnay walay Balochon ko Punjab mein hain, kya waisay he social, economic, administrative, political rights Baluchistan mein rehnay walay Punjabion ko bhe Baluchistan mein nahi honay chaheain?

No comments:

Post a Comment