Monday 18 July 2016

Kya Sindhi, Muhajir, Baloch Nay Punjabi Qoom K Sath Jung Shoro Ki Hoe Hy?

Sindhion, Muhajiron, Pathano aur Balochon k Muslmano k liay mulk bunaanay k shook mein 20 Lakh Punjabi maaray gaay, 2 Crore Punjabi displace hoay, Punjabi Qoom Mazhab ki bunyaad par aapas mein lur kar bikhar gaee, Punjab divide ho gayaa aur Pakistan bunaanay k baad yeh Muslman Sindhi, Muslman Muhajir, Muslman Pathan, Muslman Baloch ab Qoom Parast bun kar Punjab aur Punjabion ko uthtay baithtay gaalian daytay rehtay hain.

1947 mein Punjab ko Religious ground par divide karnay k baad ab Punjab aur Punjabion ko Regions aur Dialects mein divide karnay ki shazshain kartay rehtay hain.

Punjab mein Balochon ki bhurmaar hy, Pathan Dhara Dhur Punjab mein aatay ja rahay hain, Muhajiron nay Punjab k tamaam baray cities par qabza kar k Punjab k urban areas ki Zabaan tak Urdu kardi hy.

Punjab mein Balochon, Pathano aur Muhajiron ko Punjab mein koe ungli tak nahi lagaata, in ko wo he social, economic, political rights hain jo Punjabion k hain laykun Karachi, Sind, Baluchistan mein Punjabion k sath kya ho raha hy?

Karachi, Sind, Baluchistan say Punjabion ki kitni laashain ab tak Punjab aa chuki hain aur Punjab say kitnay Balochon, Muhajiron ki laashain Karachi, Sind aur Baluchistan gaee hain?

Punjab mein Saraiki sazish ki ja rahi hy kya Punjabion nay Baluchistan ko Brauhi, Baloch, Makrani mein divide karnay ki koshish ki?

Kya Punjab nay Muhajiron ko UP, CP, Bihari, Gujrati, Rajasthani mein divide karnay ki koshish ki?

Kya Punjab nay Sindhion ko Sammat, Syed, Baloch mein divide karnay ki koshish ki?

Sindhi, Muhajir, Baloch k Punjabi Qoom k Sath Jung par Punjabi Qoom kub tak khaamosh rahay gey?

No comments:

Post a Comment