Thursday 7 July 2016

MQM Ko Kiss Nay Aur Kyon Bunaaya?

Sindh k rural areas mein Sindhi aur urban areas mein Muhajir majority hy. 1985 mein Sindh k rural areas k Sindhi ki majority PPP mein thi aur urban areas k Muhajir ki majority Jamaat-e-Islami (JI) aur Jamiat Ulema-e-Pakistan (JUP) mein laykun 1985 mein Non-Party base par Pakistan ki national aur provincial assemblies k elections k baad, Martial Law khatam kar k, ous waqt k President of Pakistan, General Zia-ul-Haque k plan k matabaq, Pakistan Muslim League-Junejo (PML-J) ka qiyaam ammal mein laaya gayaa. Jis ki wajaah say PML-J Sindh k rural areas aur urban areas ki sub say bari aur ruling party bun gaee.

1985 mein Pakistan Muslim League-Junejo (PML-J) ka Central President aur Prime Minister of Pakistan, Sindhi Muhammad Khan Junejo, PML-J Sindh ka President aur Chief Minister of Sindh, Sindhi Ghous Ali Shah, k bun jaanay, PML-J mein national level par Sindhi, Punjabi, Pathan aur Baloch ka ghulba ho janay, jub k, Sindh k rural areas mein tu Sindhiyon ki majority aur Muhajiron ki domination nahi thi laykun Sindh k urban areas par bhe, jahaan Muhajiron ki majority thi, PML-J ki domination ho jaanay aur Pakistan ki federal government, Sindh government aur PML-J par Muhajiron ka control na ho paanay ki wajah say, 1986 mein MQM ko ammli toor par Karachi aur Hyderabad say siyaasat k maidaan mein uttaara gayaa ta k MQM k platform say Sindh k urban area par Muhajiron ki siyaasi baalaadusti qaim karwa kar Sindh k baray baray shehroon par Muhajiron ka mokammal control qaim karwa kar, rural areas k Sindhiyon ko Sindh k urban areas par dominate honay say rook kar, Sindh k urban areas k Muhajir dominated honay ki bunyaad par, Muhajiron ki Federal aur Sindh ki Provincial Government k liay siyaasi ehmiyat ko yaqeeni bana kar, Muhajir Bureaucrats aur Establishment ko permanent political support provide hotay rehnay ka intzaam kiya ja sakay.

Pakistan ki federal aur Sindh ki provincial government, PML-J k pass honay k bawajood 1987 mein honay walay local bodies election mein PML-J k bajaay MQM ko Karachi aur Hyderabad say elect karwa kar Karachi aur Hyderabad k Mayors MQM k banwaay gaay, jis ki wajaah say Karachi aur Hyderabad k local government k departments aur local affairs mein Urdu Speaking Hindustani Muhajir nay total dominating position hasil karna shoro kardi jis say provincial aur federal government k departments ko pressurize aur blackmail karnay k sath sath strikes, jalaao, ghairaao, bhata khori, aghwa, qatal aur gharatgiri ka silsla bhe shoro ho gayaa.

1987 mein Chief of army Staff tu Punjabi General Zia-ul-Huq tha laykunChairman Joint Chiefs of Staff Committee Muhajir General Akhtar Abdu Rehman thajo k 1979 say 1987 tak ISI ka Director General bhe raha aur Vice Chief of Army Staff, Muhajir General Mirza Aslam Baig tha. MQM durassal, Foreign Affairs, Military Establishment aur Civil Bureaucracy mein mojood Muhajir “Power Players” ka aik political wing hy.

Foreign Affairs, Military Establishment aur Civil Bureaucracy say retired UP, CP k Urdu Speaking Hindustani Muhajir “Power Players” MQM ki Policymaking kartay hain.

Foreign Affairs, Military Establishment aur Civil Bureaucracy mein mojood UP, CP k Urdu Speaking Hindustani Muhajir “Power Players” MQM ko Patronize kartay hain.

Anti-Pakistan Proxy Players aur India k liay Proxy Agent ka role play kanay waalay Urdu Speaking Hindustani Muhajir “Power Players” MQM ko Facilitate kartay hain.

Print Media aur Electronic Media k Urdu Speaking Hindustani Muhajir “Power Players” MQM ko Advertise kartay hain.

Educational Institutions aur Skilled Professions k Urdu Speaking Hindustani Muhajir “Power Players” MQM ko Propagate kartay hain.

Criminal aur Illegal Business karnay waalay Urdu Speaking Hindustani Muhajir “Power Players” MQM ko Support kartay hain.

Political aur Social Activist Urdu Speaking Hindustani Muhajir “Power Players” MQM ko Organize kartay hain.

Jub k MQM k local networks KMC, HMC, KDA, HDA, KWSB, KBCA, KSE, Education Department, Health Department, Port and Shipping Authority, Steel Mill, Karachi Airport, Banks, Insurance Companies, Multi National Companies aur print media, electronic media mein jobs karnay waalay Urdu Speaking Hindustani Muhajiron par moshtamal hain.

No comments:

Post a Comment