Thursday 7 July 2016

MQM Kub Aur Kysay Gov't Mein Rahi?

1988 mein pehli baar jub PPP government mein MQM ko shaamal kiya gayaa tu ous waqt Chief of Army Staff, Muhajir Mirza Aslam Baig tha aur jub PPP ki government nay 1990 mein MQM k khalaaf Pacca Qila operation shoro kiya tu ous waqt bhe Chief of Army Staff, Muhajir Mirza Aslam Baig he tha jis ki wajah say PPP government MQM k khalaaf operation mokummal na kar saki aur PPP ki government khatam kardi gaee.

1990 mein jub Nawaz Sharif ki hakomat mein MQM shaamal hoi tu ous waqt bhe Chief of Army Staff, Muhajir Mirza Aslam Baig he tha. Laykun, 1992 mein jub Nawaz Sharif nay MQM k khalaaf operation kiya tu ous waqt Chief of Army Staff, Punjabi Asif Nawaz tha aur 1993 mein jub dobaara PPP ki hakomat bunni tu ous waqt Chief of Army Staff, Pathan Waheed Kakar tha, MQM ko hakomat mein shaamal nahi kiya gayaa aur operation bhe jari raha.

1997 mein jub dobaara Nawaz Sharif ki hakomat bunni tu ous waqt Chief of Army Staff, Muhajir Jehangir Karamat tha. MQM ko hakomat mein shaamal kiya gayaa. Laykun, 1998 mein jub Hakeem Saeed k murder k baad MQM k khalaaf operation shoro kiya gayaa tu Muhajir Jehangir Karamat nay Nawaz Sharif ki hakomat ko disable karna shoro kar diya jis ki wajah say Jehangir Karamat ko nikaal kar dosra Chief of Army Staff banana para laykun dosra Chief of Army Staff bhe Muhajir he bana diya gayaa jo Muhajir Musharraf tha, jis nay Nawaz Sharif ki hokomat he khatam kardi.

2001 mein, Muhajir Chief of Army Staff, Musharraf ki hakomat k daur mein Altaf Hussain nay UK k Prime Minister Tony Blair ko letter likha jis k baad MQM ki taraf say Pakistan mein jaasoosi karnay aur MQM ko Pakistan ki federal aur Sind government mein hissa daynay ka agreement howazahir hy Government of Pakistan ki marzi k baghair agreement nahi ho sakta tha aur 2001 mein Muhajir Musharraf he Pakistan ka Chief of Army Staf aur Chief Executive thaous nay he agreement k liay consent diya. Balkay, agreement karwaaya aur MQM k morda ghoray mein dobaara jaan daali. Warna MQM tu ous waqt tak mordaar ho chuki thi.

2002 k election k baad PMLQ ki hakomat bunni tu ous waqt bhe Chief of Army Staff, Muhajir Musharraf he tha, MQM phir government mein shaamul ki gai aur 2008 tak Government mein he rahi.

2008 meim aik baar phir say PPP ki government bunni tu ous waqt Chief of Army Staff go k Punjabi Kiyani tha laykun es k bawajood Sindhi President of Pakistan aur PPP k Chairman Zardari nay MQM ko PPP ki government ka hissa bunnaaya. Yeh wahid mooqa hy jub MQM Muhajir Chief of Army Staff k na honay k bawajood Government ka hissa bunnay mein kaamyaab hoi aur es ki wajah Sindhi President of Pakistan aur PPP k Chairman Zardari ka MQM ko PPP ki government ka hissa bunna kar Punjab aur Punjabion k khalaaf MQM ko istamaal kar k Punjab ko Saraiki sazish k zariay divide karna, Punjab mein PMLN ki Government ko khatam kar k PPP ki Government banana ya Punjab mein Governor Rule he rakhna, Muhajir Dictator General Musharraf ki taraf say PCO k zariay hataay gaay Punjabi Chief Justice Chaudhry Iftakhar ko restore na honay dayna, Muhajir Bureaucracy aur Establishment ki support laykar Punjabi Bureaucracy aur Establishment ko corner karna tha, jis mein yeh Sindhi President of Pakistan aur PPP ka Chairman, Zardari naakaam raha.

2013 mein aik baar phir say Nawaz Sharif ki government bunni tu Chief of Army Staff, Punjabi Pervez Kayani tha, MQM ko government mein shaamal nahi kiya gayaa. Ab 2016 mein bhe Nawaz Sharif ki he government hy laykun Chief of Army Staff, Punjabi Raheel Sharif hy, MQM ko abhi tak government mein shaamal nahi kiya gayaa.

Kya MQM Foreign Affairs, Military Establishment aur Civil Bureaucracy mein mojood Muhajir “Power Players” ka aik political wing hy?

No comments:

Post a Comment