Thursday 7 July 2016

MQM Ko Kis Nay Aur Kyon Punjabi Army Chief K Daur Mein Bhe Gov't Mein Shamal Kiya?

MQM jub bhe Pakistan ki federal aur Sindh ki provincial government mein shaamal ki gaee ous waqt Chief of Army Staff Muhajir he hota tha. Balkay, MQM k qiyaam say laykar jub jub Muhajir Chief of Army Staff raha tu MQM bhe Pakistan ki federal aur Sindh ki provincial government mein shaamal ki gaee.

Sirf aik period aysa hy jub Muhajir Chief of Army Staff k bajaay Punjabi Chief of Army Staff k hotay hoay MQM ko Pakistan ki federal aur Sindh ki provincial government mein shamal kiya gayaa.

2008 meim jub PPP ki government bunni tu ous waqt Chief of Army Staff go k Punjabi Kiyani tha laykun es k bawajood Sindhi President of Pakistan aur PPP k Chairman Zardari nay MQM ko PPP ki government ka hissa bunnaaya. Yeh he woh wahid mooqa hy jub MQM, Muhajir Chief of Army Staff k na honay k bawajood Government ka hissa bunnay mein kaamyaab hoi aur es ki wajah Sindhi President of Pakistan aur PPP k Chairman Zardari ka MQM ko PPP ki government ka hissa bana kar Punjab aur Punjabiyon k khalaaf MQM ko istamaal kar k Punjab ko Saraiki sazish k zariay divide karna, Punjab mein PMLN ki Government ko khatum kar k PPP ki Government banana ya Punjab mein Governor Rule he rakhna, Muhajir Dictator General Musharraf ki taraf say PCO k zariay hataay gaay Punjabi Chief Justice of Pakistan, Chaudhry Iftakhar ko restore na honay dayna, Muhajir Bureaucracy aur Establishment ki support laykar Punjabi Bureaucracy aur Establishment ko corner karna tha, jis mein yeh Sindhi President of Pakistan aur PPP ka Chairman, Zardari naakaam raha.

No comments:

Post a Comment