Tuesday 12 January 2016

Pakistan He Nahi Pakistan K Provinces Bhe Heterogeneous Hain.

Baluchistan mein jitney Punjabi hain ous say ziyaada Baloch Punjab mein hain.

Karachi mein jitney Punjabi hain ous say ziyaada Urdu speaking Hindustani Punjab mein hain.

KPK mein jitney Punjabi hain ous say ziyaada Pathan Punjab mein hain.

Pathan, Urdu Speaking Hindustani Muhajir aur Baloch nay na sirf Sammat, Hindko aur Brohi Qoomon ki zameen par qabza kiya howa hy balkay Punjab ki Siyasat, Sahafat, Sunnat, Tujaarat, Sarkari Nokrion aur Zamino par bhe yeh Pathan, Urdu Speaking Hindustani Muhajir aur Baloch qubza kartay ja rahay hain.


Yeh Pathan, Urdu Speaking Hindustani Muhajir aur Baloch, Punjab say Political Parties k Central aur Provincial President, Central aur Provincial General Secretary bhe buntay hain.Yeh Pathan, Urdu Speaking Hindustani Muhajir aur Baloch, Punjab assembly k members bhe buntay hain.

Yeh Pathan, Urdu Speaking Hindustani Muhajir aur Baloch, Punjab say national assembly k members bhe buntay hain.

Yeh Pathan, Urdu Speaking Hindustani Muhajir aur Baloch, Punjab say provincial ministers aur provincial advisors bhe buntay hain.

Yeh Pathan, Urdu Speaking Hindustani Muhajir aur Baloch, Punjab say federal ministers aur federal advisors bhe buntay hain.

Yeh Pathan, Urdu Speaking Hindustani Muhajir aur Baloch, Punjab say President of Pakistan, Prime Minister of Pakistan, Governor of Punjab, Chief Minister of Punjab bhe bunnay.

Jub k........

Sind, Karachi aur Baluchistan mein rehnay waalay Punjabion ko chon k Sind aur Baluchistan ki provincial governments aur Karachi ki local government mein representation nahi di jaati es liay, na tu Sind, Karachi aur Baluchistan k Punjabion ka political point of view samnay aata hy aur na he Sind, Karachi aur Baluchistan k Punjabion ko political rights aur government facilities mil paati hain.

Darassal.........

Baluchistan k Baloch area, Sind k Sindhi area aur Punjab k South k area mein Baloch, Baluchistan aur KPK k Pathan area mein Pathan, Sind k Muhajir area mein Muhajir, local level par apni social aur economic domination qaim rakhnay k sath sath Sammat, Hindko aur Brohi Qoomon par apna Raaj qaim rakhna chahtay hain. In ko personal interests say itni ziyaada garz hy k Pakistan k collective interests ko bhe yeh na sirf nazar andaaz kar rahay hain balkay Anti-Pakistan elements ki sponsorship aur support laynay aur un k liay proxy politics karnay ko bhe ghalat nahi samajhtay.

Pakistan ko Punjabi, Sammat, Hindko aur Brohi Qoomon ki zameen par bunaaya gayaa hy.

Punjabi, Sammat, Hindko aur Brohi he Pakistan ki assal Qoomain hain.

Punjabi, Sammat, Hindko aur Brohi ki apni zameen k sath sath apni zabaan, apni saqafat, apni tahzeeb, apna rasm rawaaj hy.

Es liay..........

Pakistan mein nations k conflicts ko resolve karna tu zaroori hy laykun provinces mein bhe communities k issues ko resolve karna zaroori hy balkay boht ziyaada zaroori hy.

Kyon k.........

Pakistan he heterogeneous state nahi hy. Pakistan k provinces bhe heterogeneous provinces hain.

Pakistan ki 60% population Punjabi hy jis ki wajaah say Pakistan ki establishment, business aur politics par dominating role Punjabiyon ka hy, es liay Pathano, Urdu Speaking Hindustani Muhajiron aur Balochon ka bazahir target Punjab ka woh Punjabi hota hy jo Establishment mein ho, Business mein ho ya Politician ho laykun Punjab mein rehnay waalay Punjabi ko ammli tour par yeh Pathan, Urdu Speaking Hindustani Muhajir aur Baloch, koe nuqsaan nahi ponhcha paatay aur na Punjab k Punjabiyon k sath in ka direct clash of interest hy. Es liay Sammat, Hindko aur Brohi Qoomon par apni baalaadusti qaim rakhnay k sath sath in ka assal nashaana Baluchistan, KPK, Karachi aur Sind mein rehnay waali Punjabi community ka woh Punjabi he hota hy jo Baluchistan, KPK, Karachi ya Sind mein permanently settle hy.

In wajohaat ki bina par.........

Pakistan k provinces mein communities k disputes ko redress aur resolve kiay baghair ab Pakistan mein nations k conflict ko resolve karna mushkal he nahi balkay Na-Mumkin hota ja raha hy. Kyon k Pakistan k her province mein population mix ho chuki hy. Aysa na ho k future mein communities ka issue kisi bari qatal gharat giri ka sabub bun jaay.

Beharhaal.......

Pathano, Balochon aur Urdu Speaking Hindustani Muhajiron ki sooch bachaar k liay Teen Baatein pesh khidmat hain.

Pehli baat k East Pakistan k Bangladesh bun jaanay k baad yeh West Pakistan, Pakistan nahi Punjabistan hy, ab es Punjabistan ka naam Pakistan he kyon na rakh diya gayaa ho.

Es liay Pathano, Balochon aur Urdu Speaking Hindustani Muhajiron ki ghalat fehmi hy k es Punjabistan say Punjabi aik inch zameen ka tukra bhe alug honay dain gay.

Dosri baat yeh k ab es Punjabistan ya Pakistan par Raaj Punjabi ka he rahay ga.

Pathano, Balochon aur Urdu Speaking Hindustani Muhajiron ko in k apnay apnay areas ki hud tak he local affairs ki policy making aur decision taking ki permission hogi.

Provincial affairs ki policy making aur decision taking k liay Sammat, Hindko aur Brohi Qoomon ko un k apnay apnay provinces mein Punjabi Qoom support karay gey.

Jub k, Punjabistan ya Pakistan ki National aur International policy making aur decision taking Punjabi ab khud he karain gay.

Punjabi Qoom National aur International policy making aur decision taking mein Sammat, Hindko aur Brohi Qoomon ko Pakistan ki assal Qoomain honay k naatay apnay saath rakhay gey.

Teesri baat k Pathan hon, Baloch hon ya Urdu Speaking Hindustani Muhajir, ab Punjabiyon mein honay waali Siyaasi Sooch ki tabdeeli say samjhoota karna seekhain.

Ab Sammat, Hindko aur Brohi Qoomon ko apnay apnay province mein Pathan, Baloch aur Urdu Speaking Hindustani Muhajir ki baala dusti say najaat millay gey.

Jub k Pathan, Baloch, Urdu Speaking Hindustani Muhajir k liay Punjabi Raaj ab in ka Naseeb bun chuka hy.

No comments:

Post a Comment