Tuesday 12 January 2016

Sammat Suppressed Nation Kyon Hy?

Sindh k residents 42% Sammat hain jo k actual aur original Sindhi hain. 17% Kurdish background hain jo khud ko Baloch kehlwaatay hain. 1% Arabic background hain jo khud ko Abbasi, Ansari, Gilliai, Jillani, Qurashi, Siddiqui etc kehlwaatay hain.

42% Sammat, 17% Baloch aur 1% Arabic ko jo k Sindh ki population ka 60% buntay hain, Sindhi kaha jaata hy.

Jub k 19% UP, CP k Urdu Speaking Hindustani, 10% Punjabi, 7% Pathan, 4% others ko jo k Sindh ki population ka 40% buntay hain, Sindhi nahi kaha jaata hy.

Historically, Sindh ki 42% Sammat population tu centuries say Arabic background Abbasi, Ansari, Gilliai, Jillani, Qurashi, Siddiqui etc aur Baloch k under domination rehnay ki wajaah say aik suppressed nation hy.

Arabic aur Baloch k under domination rehnay ki wajaah say Sammat mein martial race k ingredients tu kya apni he land par rule karnay ki ability aur apnay rights k liay struggle karnay ki capacity tak nahi rahi.

Sindh par Pakistan k bunnay say pehlay;
1843 say laykar 1947 tuk 104 saal British ka rule tha.
1783 say laykar 1843 tuk 60 saal Talpur Baloch ka rule tha
1701 say laykar 1783 tuk 82 saal Abbasi Kalhora ka rule tha.
1591 say laykar 1701 tuk 110 saal Mughal ka rule tha.
1554 say laykar 1591 tuk 37 saal Turkic Tarkhan  ka rule tha.
1520 say laykar 1554 tuk 34 saal Turkic Arghun  ka rule tha.
1335 say laykar 1520 tuk 185 saal Samma  ka rule tha.
1024 say laykar 1335 tuk 311 saal Soomra  ka rule tha.
712 say laykar 1024 tuk 312 saal Arab  ka rule tha.

1520 say laykar 1554 tuk 34 saal Turkic Arghun, 1554 say laykar 1591 tuk 37 saal Turkic Tarkhan, 1591 say laykar 1701 tuk 110 saal Mughal aur 1701 say laykar 1783 tuk 82 saal Abbasi Kalhora k baad 1783 say laykar 1843 tuk 60 saal Talpur Baloch ka rule tha. Talpur Baloch ruling mind-set thayna k martial race.

Talpur Baloch k pass Army nahi, ruling elite thi jo k Afghanistan k Abdali rulers ki support aur Mughal Emperors ki suzerainty say Abbasi Kalhora ko hata kar Sindh par rule karnay luggay.

Talpur Baloch say pehlay 1701 say laykar 1783 tuk 82 saal Durani ruler’s ki support aur Mughal Emperors ki suzerainty say Sindh par Abbasi Kalhora ka rule tha. Abbasi Kalhora bhe ruling mind-set thay, na k martial race.

Abbasi Kalhora k pass Army nahi, ruling elite thi jo k Afghan Emperors ki suzerainty say Sindh par rule karnay luggay thay.

Abbasi Kalhora chon k martial race nahi balkay ruling elite thay jis ki wajaah say Abbasi Kalhora ki apni Army nahi thi jis ki wajaah say Abbasi Kalhora elite ka Sindh par rule karna moshkal ho gayaa tha, es liay Sindh par rule karnay k liay Abbasi Kalhora ko Punjab say Talpur Baloch laanay paray ta k Abbasi Kalhora ruling elite aur Baloch ruling elite mil kar Sindh ko rule kar sakain laykun Sindh aanay k baad Sindh par Abbasi Kalhora ruling elite k sath mil kar Sindh par rule kartay rehnay k bajaay Talpur Baloch nay Mughal Emperors ki suzerainty say Halaani mein Abbasi Kalhora k sath laraai kar k Sindh par Abbasi Kalhora ka rule khatam kar k, khud rule karna shoro kar diya tha.

Pakistan k bunnay k baad Pakistan ka Prime Minister UP k Urdu Speaking Hindustani Liaquat Ali Khan k bun jaanay say aur Karachi k Pakistan ka capital bun jaanay k baad September 1948 mein Pakistan ki government service mein immigrants k liay 15% aur Karachi k liay 2% Quota rakh kar Liaquat Ali Khan nay UP, CP say Urdu Speaking Hindustani laa kar Karachi aur Sindh k dosray baray cities mein settle karna shoro kar diya aur Hindu Sammat ko Sindh say nikaal diya.

Centuries say Arabic background aur Baloch k under domination rehnay ki wajaah say Sindh ki Sammat population pehlay tu supresed nation thi laykun, Hindu Sammat ko Sindh say nikaal daynay say Sindh mein Sindh ki actual, original aur majority population, Sammat ki population bhe kum ho gaee jis ki wajaah say Sindh k urban areas par UP, CP ki Urdu Speaking Hindustani ruling elite ki aur Sindh k rural areas par Arabic background aur Baloch background ruling elite ki total domination ho gaee.

No comments:

Post a Comment