Thursday 28 January 2016

Sindh Ka Problem Kya Hy Aur Solution Kya Hy?

Sindh k urban areas ka problem UP, CP waalay hain, na k Gujrati aur Rajasthani jub k rural Sindh ka problem Baloch aur Syed hain, na k Sammat Sindhi aur Punjabi settlers.

Sindh k urban areas k UP, CP waalay Non-Productive loog hain laykun politics par in ka control hy jub k Gujrati aur Rajasthani productive loog hain laykun UP, CP waalon k under political domination hain.

Sindh k rural areas k Baloch aur Syed Non-Productive loog hain laykun politics par in ka control hy jub k Sammat Sindhi aur Punjabi settlers productive loog hain laykun Baloch aur Syed kunder political domination hain.

Jub tak Sindh k urban areas k Gujrati aur Rajasthani loog UP, CP waalon k under political domination hain, ous waqt tak urban Sindh k halaat mazeed kharaab say kharaab hotay jaanay hain.

Jub tak Sindh k rural areas k Sammat Sindhi aur Punjabi settlers loog Baloch aur Syed k under political domination hain, ous waqt tak rural Sindh k halaat mazeed kharaab say kharaab hotay jaanay hain.

Maazi mein Sindh k urban areas k UP, CP waalon nay Gujratiyon aur Rajasthaniyon ko apnay sath mila kar Sindh k urban areas mein rehnay waalay Punjabiyon aur Pathano k sath zulm aur ziyaadti ki aur ab Gujrati aur Rajasthani bhe in UP, CP waalon k zulm aur ziyadtiyon ka nishaana buntay jaa rahay hain.

Maazi mein Sindh k rural areas k Baloch aur Syed nay Sammat Sindhi ko apnay sath mila kar Sindh k rural areas mein rehnay waalay Punjabiyon k sath zulm aur ziyaadti ki aur ab Sammat Sindhi bhe in Baloch aur Syed k zulm aur ziyadtiyon ka nishaana buntay jaa rahay hain.

Sindh ki agricultural lands ziyaata tar Syed aur Baloch sambhaal kar baithay hain jin k buroon nay bhe kabhi agriculture nahi ki thi.

Syed aur Baloch nay go k Sindh par Pakistan k bunnay say pehlay say he qabza kya howa tha balkay British k Sindh par qabza karnay say pehlay tu Sindh par hakomat he Syed aur Baloch ki rahi laykun developed Agricultural lands, Syed aur Baloch ko Pakistan k buntay waqt, Sindh say jaanay waalay Sikhoon aur Hinduon ki mil gaein, jin par kaam karnay k liay ziyaada tar in k Haari Muslman Punjabi aur Sammat he hootay thay. Yahaan tak k, Sindhi nationalist leader G.M Syed k pass bhe Punjabi Haari thay.

1970's mein Syed aur Baloch nay, Punjabi settlers ko durra dhumka kar
Punjab waapas bhaij diya. Punjabi settlers k Punjab waapas aanay ki wajaah say, Syed aur Baloch nay mazeed developed agricultural lands Punjabiyon say hasil kar lyn.

Agricultural lands hasil karnay ka jo tareeka Syed aur Baloch nay ikhtiyaar kiya, ous tareekay say zameen tu mil gaee laykun agricultural skill tu nahi mil sakti.

Sindh mein Barrage System k bunnay say pehlay Sammat Sindhi he actually forefather generations say Sindh mein agricultural kartay thay jub k Syed aur Baloch tu Sammat par hakomat kiya kartay thay.

Beharhaal, es waqt sorathaal yeh hy k; Sammat Sindhi k pass aik tu waisay he thori thori zameen hy. Dossra Sammat Sindhi, Sindhk eastern side ki tarf ziyaada hy jahaan water shortagehy.Teesra Sammat Sindhi k pass bhe latest agricultural skills nahihy.

Punjabi tu Sindh say achay waqt mein Punjab waapas aa gaay. Baqi jo Sindh mein Punjabi bucha hy, wo ghareeb ghurba ya chota moota zamindaar aur karobari hy. Industry, trade business, technology aur skilled professions ki activities waalay areas, urban areas hotay hain, jo waisay he Muhajiron k control mein hain jub k rural Sindh mein economic activity sirf agricultural he hy, jis par Syed aur Baloch dominated hy.

Sindh k residents 42% Sammat hain jo k actual aur original Sindhi hain. 17% Kurdish background hain jo khud ko Baloch kehlwaatay hain. 1% Arabic background hain jo khud ko Abbasi, Ansari, Gilliai, Jillani, Qurashi, Siddiqui etc kehlwaatay hain.

42% Sammat, 17% Baloch aur 1% Arabic ko jo k Sindh ki population ka 60% buntay hain, Sindhi kaha jaata hy.

Jub k 19% UP, CP k Urdu Speaking Hindustani, 10% Punjabi, 7% Pathan, 4% others ko jo k Sindh ki population ka 40% buntay hain, Sindhi nahi kaha jaata hy.

Historically, Sindh ki 42% Sammat population, centuries sayArabic background Abbasi, Ansari, Gilliai, Jillani, Qurashi, Siddiqui etc aur Baloch k under domination rehnay ki wajaah say aik suppressed nation hy.

Arabic aur Baloch k under domination rehnay ki wajaah say Sammat mein martial race k ingredients tu kya apni he land par rule karnay ki ability aur apnay rights k liay struggle karnay ki capacity tak nahi rahi.

Sindh par
Pakistan k bunnay say pehlay British ka rule tha. British rule say pehlay Talpur Baloch ka rule tha. Talpur Baloch say pehlay Abbasi Kalhora ka rule tha.

Talpur Baloch ruling mind-set thay, na k martial race.

Talpur Baloch k pass Army nahi, ruling elite thi jo k Mughal Emperors ki suzerainty say Abbasi Kalhora ko hata kar Sindh par rule karnay luggay.

Talpur Baloch say pehlay Afghan Emperors ki suzerainty say Sindh par Abbasi Kalhora ka rule tha.

Abbasi Kalhora bhe ruling mind-set thay, na k martial race.

Abbasi Kalhora k pass Army nahi, ruling elite thi jo k Afghanistank Durani Emperors ki suzerainty say Sindh par rule karnay luggay thay.

Abbasi Kalhora chon k martial race nahi balkay ruling elite thay jis ki wajaah say Abbasi Kalhora ki apni Army nahi thi jis ki wajaah say Abbasi Kalhora elite ka Sindh par rule karna moshkal ho gayaa tha, es liay Sindh par rule karnay k liay Abbasi Kalhora ko Punjab say Talpur Baloch laanay paray ta k Abbasi Kalhora ruling elite aur Baloch ruling elite mil kar Sindh ko rule kar sakain laykun Sindh aanay k baad Sindh par Abbasi Kalhora ruling elite k sath mil kar Sindh par rule kartay rehnay k bajaay Talpur Baloch nay Mughal Emperors ki suzerainty say Halaani mein Abbasi Kalhora k sath laraai kar k Sindh par Abbasi Kalhora ka rule khatam kar k, khud rule karna shoro kar diya tha.

Pakistan k bunnay k baad Pakistan ka Prime Minister UP k Urdu Speaking Hindustani Liaquat Ali Khan k bun jaanay say aur Karachi k Pakistan ka capital bun jaanay k baad September 1948 mein Pakistan ki government service mein immigrants k liay 15% aur Karachi k liay 2% Quota rakh kar Liaquat Ali Khan nay UP, CP say Urdu Speaking Hindustani laa kar Karachi aur Sindh k dosray baray cities mein settle karna shoro kar diya aur Hindu Sammat ko Sindh say nikaal diya.

Centuries say Arabic background aur Baloch k under domination rehnay ki wajaah say Sindh ki Sammat population pehlay tu supressed nation thi laykun, Hindu Sammat ko Sindh say nikaal daynay say Sindh mein Sindh ki actual, original aur majority population, Sammat ki population bhe kum ho gaee jis ki wajaah say Sindh k urban areas par UP, CP ki Urdu Speaking Hindustani ruling elite ki aur Sindh k rural areas par Arabic background aur Baloch background ruling elite ki total domination ho gaee.

Jub tak Sindh ki population k 42% Sammat Sindhi, 1% Syed, 17% Baloch aur 19% UP, CP k Urdu Speaking Hindustani ki social, economic, political domination say azaad nahi hotay, ous waqt tak;

Na Sindh ka social atmosphere theek hoona hy.
Na Sindh ka law and order theek hoona hy.
Na Sindh ki politics theek hooni hy.
Na Sindh ki administration theek hooni hy.
Na Sindh mein economic activity theek hooni hy.
Na Sindh mein education theek hooni hy.
Na Sindh mein development theek hooni hy.

No comments:

Post a Comment