Wednesday 28 October 2015

Pakistani Punjab, Punjab Ka Jism Hy.

Pakistan mein Punjab ka jo area hy, assal Punjab yeh he hy, yeh Punjab ka Jism hy.

Raja Pours bhe Punjabes he elaaqay say tha. Maharaja Ranjeet Singh bhe Punjabes he elaaqay say tha. Dulla Bhatti bhe Punjabes he elaaqay say tha. Bhagat Singh bhe Punjabes he elaaqay say tha. Rai Ahmed Kharal bhe Punjab k es he elaaqay say tha. Sir Gunga Raam Bhe Punjab k es he elaaqay say tha.

Baba Fareed bhe Punjab k es he elaaqay say tha. Shah Hussain bhe Punjab k es he elaaqay say tha. Waris Shah bhe Punjab k es he elaaqay say tha. Baba Nanak Bhe Punjab k es he elaaqay say tha. Baba Bullah bhe Punjab k es he elaaqay say tha. Sultan Bahoo bhe Punjab k es he elaaqay say tha. Mian Muhammad Bux bhe Punjab k es he elaaqay say tha.

Yeh Punjab jo es waqt Pakistan mein hy, Punjab ka Jism hy. West ka NWFP aur East ka Indian Punjab es assali Punjab k Right aur Left hath hain jo Punjab aur Punjabion k dushmano nay kaat diay thay jo ab phir say joor diay jaanay hain.

1947 mein jo Punjabi, Eastern side of Punjab say Western side of Punjab aa'ay wo India say nahi, Punjab say Punjab aa'ay.

1947 say pehlay bhe Punjab, Punjab tha aur 1947 k baad bhe Punjab, Punjab he hy.

Punjab ko kaat kar Punjab ka kuch hisa Pakistan aur kuch hisa India mein shamal karnay ka matlab yeh nahi k Punjab aur Punjabion ka wajood khatam ho gayaa.

Punjab ab bhe mojood hy aur Punjabi Qoom bhe mojood hy.

Punjabi chahay Muslman Punjabi ho ya Sikh Punjabi, Christian Punjabi ho ya Hindu Punjabi, Punjabi, Punjabi he hota hy.

No comments:

Post a Comment